dua aur bad-dua ke darmiyan
duā aur bad-duā ke darmiyāñ jab rābte kā pul nahīñ TuuTā
to maiñ kis tarah pahuñchā bad-duā.eñ dene vāloñ meñ
maiñ un kī ham-navā.ī par huā māmūr
ham-āvāz huuñ un kā
ki jin ke nāma-e-āmāl meñ in bad-duāoñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
un ke kahe par aaj tak bādal nahīñ barse
kabhī mausam nahīñ badle
koī tūfāñ, koī sailāb un kī ārzūoñ se nahīñ palTā
ye nādāñ, saare maqtūloñ kī fihristeñ uThā.e āsmāñ ko dekhte haiñ
aur samajhte haiñ ki duniyā un ke naam aur shakl-o-sūrat bhuul jā.egī
vagarna qātiloñ ko ḳhud-kushī karnā paḌegī
aur ye itne bahādur bhī nahīñ hote
to jab tak āsmānoñ aur hamāre darmiyāñ haa.il
hujūm-e-qātilāñ chhaTtā nahīñ haTtā nahīñ parda
duā aur bad-duā ke lafz ham-ma.anī raheñge
ab duā-e-zindagī qātil ko deñ
yā bad-duā ḳhud ko
dua aur bad-dua ke darmiyan jab rabte ka pul nahin TuTa
to main kis tarah pahuncha bad-duaen dene walon mein
main un ki ham-nawai par hua mamur
ham-awaz hun un ka
ki jin ke nama-e-amal mein in bad-duaon ke siwa kuchh bhi nahin
un ke kahe par aaj tak baadal nahin barse
kabhi mausam nahin badle
koi tufan, koi sailab un ki aarzuon se nahin palTa
ye nadan, sare maqtulon ki fihristen uThae aasman ko dekhte hain
aur samajhte hain ki duniya un ke nam aur shakl-o-surat bhul jaegi
wagarna qatilon ko KHud-kushi karna paDegi
aur ye itne bahadur bhi nahin hote
to jab tak aasmanon aur hamare darmiyan hail
hujum-e-qatilan chhaTta nahin haTta nahin parda
dua aur bad-dua ke lafz ham-mani rahenge
ab dua-e-zindagi qatil ko den
ya bad-dua KHud ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.