bām-o-dar chup saadh chuke haiñ
taaq meñ ik miTTī kā diyā añdhiyāroñ se bāteñ kartā hai
mere bachche merī jhūTī bāteñ sun kar abhī so.e haiñ
raat kā āḳhirī pahar hai maiñ huuñ
sachche mālik
aaj maiñ pahlī baar duā ko haath uThā.e
tujh se itnā chāhtā huuñ
jab tak mere bachche jāgeñ
merī saarī jhūTī bāteñ sachchī kar de
baam-o-dar chup sadh chuke hain
taq mein ek miTTi ka diya andhiyaron se baaten karta hai
mere bachche meri jhuTi baaten sun kar abhi soe hain
raat ka aaKHiri pahar hai main hun
sachche malik
aaj main pahli bar dua ko hath uThae
tujh se itna chahta hun
jab tak mere bachche jagen
meri sari jhuTi baaten sachchi kar de
- Book : جنہیں راستے میں خبر ہوئی (Pg. 59)
- Author : سلیم کوثر
- Publication : فضلی بکس ٹیمپل روڈ،اردو بازار، کراچی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.