samjhā ke ḳhvāhishoñ ko tamannā kī dhuup meñ
vo aa ga.ī hai mere makāñ ke sarāb meñ
angāre rakh rahī hai musalsal kitāb par
vo bad-havās phaaḌ rahī hai varaq varaq
ḳhud meñ simaT rahā huuñ magar bhāgtī nahīñ
lamhe guzar rahe haiñ magar bhāgtī nahīñ
ab maiñ agar zabān ko paañv pe pheñk duuñ
vo mujh ko tanhā chhoḌ ke likh jā.egī kahīñ
ik bojh tere chehre kā
gar Duub jā.egā
manzar ajiib gaañv ke mele meñ
lā.egā
samjha ke KHwahishon ko tamanna ki dhup mein
wo aa gai hai mere makan ke sarab mein
angare rakh rahi hai musalsal kitab par
wo bad-hawas phaD rahi hai waraq waraq
KHud mein simaT raha hun magar bhagti nahin
lamhe guzar rahe hain magar bhagti nahin
ab main agar zaban ko panw pe phenk dun
wo mujh ko tanha chhoD ke likh jaegi kahin
ek bojh tere chehre ka
gar Dub jaega
manzar ajib ganw ke mele mein
laega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.