dua
Daal de merī sadā se khalbalī ahbāb meñ
bhar de barq-e-zindagī un ke dil-e-betāb meñ
yā-rab un kī chashm-o-dil ko bhī dikhā aisī jhalak
aks jis aalam kā hai us dīda-e-be-ḳhvāb meñ
zindagī ke sāġharoñ meñ muntaqil kar de unheñ
gardisheñ tūfān ne dekhī haiñ jo girdāb meñ
josh ubharne kā ho kaash itnā hī ahl-e-asr meñ
jis qadar paiham chamak hai kirmak-e-shab-tāb meñ
kaash utnī hī taḌap jazbāt meñ paidā kareñ
jis qadar dariyā kī maujoñ meñ hai yā sīmāb meñ
mushkileñ is tarah hal hotī haiñ josh-e-azm se
bah nikaltī haiñ chaTāneñ jis tarah sailāb meñ
garche dil ThanDe hoñ tāham un meñ bhar sakte haiñ ham
phailne kī hai jo quvvat chādar-e-mahtāb meñ
dil ko garmā.eñ to har zarre se us ke ho ayaañ
jo harārat hai shuā-e-mahr-e-ālam-tāb meñ
vo tabī.at murda hai pazhmurda hai jis meñ na ho
tāzgī jo sabza meñ hai yā gul-e-shādāb meñ
Dal de meri sada se khalbali ahbab mein
bhar de barq-e-zindagi un ke dil-e-betab mein
ya-rab un ki chashm-o-dil ko bhi dikha aisi jhalak
aks jis aalam ka hai us dida-e-be-KHwab mein
zindagi ke sagharon mein muntaqil kar de unhen
gardishen tufan ne dekhi hain jo girdab mein
josh ubharne ka ho kash itna hi ahl-e-asr mein
jis qadar paiham chamak hai kirmak-e-shab-tab mein
kash utni hi taDap jazbaat mein paida karen
jis qadar dariya ki maujon mein hai ya simab mein
mushkilen is tarah hal hoti hain josh-e-azm se
bah nikalti hain chaTanen jis tarah sailab mein
garche dil ThanDe hon taham un mein bhar sakte hain hum
phailne ki hai jo quwwat chadar-e-mahtab mein
dil ko garmaen to har zarre se us ke ho ayan
jo hararat hai shua-e-mahr-e-alam-tab mein
wo tabiat murda hai pazhmurda hai jis mein na ho
tazgi jo sabza mein hai ya gul-e-shadab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.