dua-e-nim-shab
ḳhudā.e bartar
aziim ḳhāliq
sabā ko raftār dene vaale
nafī ko isbāt dene vaale
tū mere jazboñ ko chāñdnī de
shikasta harfoñ ko raushnī de
kabīda lamhoñ ko tāzgī de
burīda lafzoñ ko zindagī de
maiñ sochtā huuñ
shajar ki jis kā nahīñ ho saaya
na jis se phal kā bhī aasrā ho
ḳhudā.e bartar
aziim ḳhāliq
tū mere zaḳhmoñ kī laaj rakh le
qalam ke phūloñ kā taaj rakh le
maiñ chāhtā huuñ ai mere maulā
mujhe tū le aur mere badle
tire jahāñ ko ek sachchā aadmī de
bas ye kamī tū puurī kar de
KHudae bartar
azim KHaliq
saba ko raftar dene wale
nafi ko isbaat dene wale
tu mere jazbon ko chandni de
shikasta harfon ko raushni de
kabida lamhon ko tazgi de
burida lafzon ko zindagi de
main sochta hun
shajar ki jis ka nahin ho saya
na jis se phal ka bhi aasra ho
KHudae bartar
azim KHaliq
tu mere zaKHmon ki laj rakh le
qalam ke phulon ka taj rakh le
main chahta hun ai mere maula
mujhe tu le aur mere badle
tere jahan ko ek sachcha aadmi de
bas ye kami tu puri kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.