dua-goi
kuchh aurteñ chalī aa.ī haiñ zindagī-bhar mujhe karte hue muaaf
un kā hamesha rahtā huuñ shukr-guzār
koī ek chuuk ko bhī tā-zindagī nahīñ kar paa.ī muaaf
chāhe dillī rahūñ yā punjab
jaan gayā huuñ āshiq honā nemat hai
mahbūb honā azaab
kyā alamiya hai duā ke liye jab bhī uThātā huuñ haath
kam-baḳht muāfī ke liye dil se aatī hai āvāz
kuchh aurten chali aai hain zindagi-bhar mujhe karte hue muaf
un ka hamesha rahta hun shukr-guzar
koi ek chuk ko bhi ta-zindagi nahin kar pai muaf
chahe dilli rahun ya punjab
jaan gaya hun aashiq hona nemat hai
mahbub hona azab
kya alamiya hai dua ke liye jab bhi uThata hun hath
kam-baKHt muafi ke liye dil se aati hai aawaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.