dukan-dar
ye tājirān-e-dīn haiñ
ḳhudā ke ghar makīn haiñ
har ik ḳhudā ke ghar pe un ko apnā naam chāhiye
ḳhudā ke naam ke evaz kul intizām chāhiye
har ek chāhtā hai ye
mirā ḳhudā ḳharīd lo
na kar sake ye tum agar
ye tājirān-e-pesha-var
kareñge tum se yuuñ ḳhitāb
intiqām chāhiye
merī kitāb jo kahe
vo hī nizām chāhiye
ḳhudā ke jitne ruup haiñ
unhoñ ne ḳhud banā.e haiñ
har ik ḳhudā meñ sāhibo
vo saarī ḳhūbiyāñ haiñ jo
unheñ bahut aziiz haiñ
har ik dukān par yahāñ
nayā ḳhudā sajā huā
har ik dukān-dār kī
faqat yahī hai iltijā
mirā ḳhudā ḳharīd lo
ḳhudā kī bhī sune koī
vo kah rahā hai bas yahī
ki sāhibo maiñ ek huuñ
mire sivā koī nahīñ
kisī kī baat mat suno
mirā to koī ghar nahīñ
diloñ meñ bas rahā huuñ maiñ
har ek pal
har ek saañs
tum meñ jī rahā huuñ maiñ
na ḳhud tum apnī jaan lo
ki tum hī merī jaan ho
jo tum ne jaan vaar dī
to maiñ kahāñ basūñgā phir
mirā to koī ghar nahīñ
jo bechte haiñ apne ghar
sajā ke mere naam par
ye nafs ke asiir haiñ
ye log be zamīr haiñ
ye tajiran-e-din hain
KHuda ke ghar makin hain
har ek KHuda ke ghar pe un ko apna nam chahiye
KHuda ke nam ke ewaz kul intizam chahiye
har ek chahta hai ye
mera KHuda KHarid lo
na kar sake ye tum agar
ye tajiran-e-pesha-war
karenge tum se yun KHitab
intiqam chahiye
meri kitab jo kahe
wo hi nizam chahiye
KHuda ke jitne rup hain
unhon ne KHud banae hain
har ek KHuda mein sahibo
wo sari KHubiyan hain jo
unhen bahut aziz hain
har ek dukan par yahan
naya KHuda saja hua
har ek dukan-dar ki
faqat yahi hai iltija
mera KHuda KHarid lo
KHuda ki bhi sune koi
wo kah raha hai bas yahi
ki sahibo main ek hun
mere siwa koi nahin
kisi ki baat mat suno
mera to koi ghar nahin
dilon mein bas raha hun main
har ek pal
har ek sans
tum mein ji raha hun main
na KHud tum apni jaan lo
ki tum hi meri jaan ho
jo tum ne jaan war di
to main kahan basunga phir
mera to koi ghar nahin
jo bechte hain apne ghar
saja ke mere nam par
ye nafs ke asir hain
ye log be zamir hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.