dukh ka zaiqa
mere logo
dukh se samjhauta na karnā varna dukh bhī kaḌvāhaToñ kī tarah
tumhāre zā.iqe kā hissa ban jā.egā
tum dukh ke baare meñ ġhaur karnā
us kī māhiyat jānñā us kī tum drawing karnā
aur sar joḌ kar us tasvīr se bāteñ karnā
galī ke bāhar maidānoñ meñ khetoñ meñ ghar kī chhatoñ ke uupar
har taraf bāteñ karnā dukh kī aane vaale sukh kī
mere logo
dukh ko jab pahchānoge to us kā qarz utāroge
ik ik paisa jam.a karnā sukh kī ḳhātir
hathiyār banānā zehnoñ meñ tasvīroñ meñ tahrīroñ meñ
phir dukh ke aage DaT jaanā
aur aisī dīvār banñā jis kī tayyārī meñ kaafī din lage hoñ
kaafī log lage hoñ
saarī ḳhūbiyāñ us dīvār meñ hoñ sab sailāboñ ke aage DaT jaane kī
mere achchhe logo
kyā tum ne sochā hai ki dīvāreñ bhī nañgī ho jaatī haiñ kuchh īñToñ ke gir jaane se
tum soch samajh ke apne sangī sāthī banānā
īñToñ ko girne na denā
dhīmī aañch meñ dhīme dhīme bāteñ karnā sukh kī sukh kī
tum meñ jo sab se achchhī bāteñ karegā
vahī tumhārā sāthī hogā vahī tumhārā sūraj hogā
mere logo
dukh ke dinoñ meñ sūraj ke raste par chalnā
us ke Dūbne ubharne ke manzar par ġhaur karnā
mere logo jhiil kī mānind chup na rahnā
bāteñ karnā chalte rahnā dariyā kī ravānī banñā
mere logo
dukh se kabhī samjhauta mat karnā hañste rahnā
dukh ke ghoḌe kī lagāmoñ ko pakaḌ kar havā se bāteñ karnā
ūñchā uḌnā
mere logo
dukh se samjhauta na karna warna dukh bhi kaDwahaTon ki tarah
tumhaare zaiqe ka hissa ban jaega
tum dukh ke bare mein ghaur karna
us ki mahiyat jaanna us ki tum drawing karna
aur sar joD kar us taswir se baaten karna
gali ke bahar maidanon mein kheton mein ghar ki chhaton ke upar
har taraf baaten karna dukh ki aane wale sukh ki
mere logo
dukh ko jab pahchanoge to us ka qarz utaroge
ek ek paisa jama karna sukh ki KHatir
hathiyar banana zehnon mein taswiron mein tahriron mein
phir dukh ke aage DaT jaana
aur aisi diwar banna jis ki tayyari mein kafi din lage hon
kafi log lage hon
sari KHubiyan us diwar mein hon sab sailabon ke aage DaT jaane ki
mere achchhe logo
kya tum ne socha hai ki diwaren bhi nangi ho jati hain kuchh inTon ke gir jaane se
tum soch samajh ke apne sangi sathi banana
inTon ko girne na dena
dhimi aanch mein dhime dhime baaten karna sukh ki sukh ki
tum mein jo sab se achchhi baaten karega
wahi tumhaara sathi hoga wahi tumhaara suraj hoga
mere logo
dukh ke dinon mein suraj ke raste par chalna
us ke Dubne ubharne ke manzar par ghaur karna
mere logo jhil ki manind chup na rahna
baaten karna chalte rahna dariya ki rawani banna
mere logo
dukh se kabhi samjhauta mat karna hanste rahna
dukh ke ghoDe ki lagamon ko pakaD kar hawa se baaten karna
uncha uDna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.