dukh ki aankhen nili hain
vo aise rūThī hai mujh se
mujhe paas nahīñ aane degī
kahtī hai duur haTo lekin
mujhe duur nahīñ jaane degī
jab us ke paas maiñ aatā huuñ
kyā kahtā huuñ kuchh yaad nahīñ
bas yaad agar hai itnā hai
in ā.ankhoñ meñ is takiye par
kuchh aañsū haiñ kuchh motī haiñ
yā un ā.ankhoñ kī jhīloñ meñ
ik kashtī hai kuchh taare haiñ
ye taare haiñ yā jugnū haiñ
jis sofe par maiñ baiThā thā
ye us kamre kī khiḌkī se
kaise uḌ uḌ kar aa.e haiñ
ye bādal kaise chhā.e haiñ
jab us ke paas maiñ aatā huuñ
kuchh būñdeñ mere kāñdhe par
Tap Tap girne lagtī haiñ
kyā kahtā huuñ maiñ ye yaad nahīñ
bas yaad agar hai utnā hai
jo bādal ghir ghir aa.e the
sab bādal chhaTne lagte haiñ
un achchhī ā.ankhoñ meñ raushan
raushan raushan rim-jhim raushan
aañsū hañsne lagte haiñ
wo aise ruThi hai mujh se
mujhe pas nahin aane degi
kahti hai dur haTo lekin
mujhe dur nahin jaane degi
jab us ke pas main aata hun
kya kahta hun kuchh yaad nahin
bas yaad agar hai itna hai
in aaankhon mein is takiye par
kuchh aansu hain kuchh moti hain
ya un aaankhon ki jhilon mein
ek kashti hai kuchh tare hain
ye tare hain ya jugnu hain
jis sofe par main baiTha tha
ye us kamre ki khiDki se
kaise uD uD kar aae hain
ye baadal kaise chhae hain
jab us ke pas main aata hun
kuchh bunden mere kandhe par
Tap Tap girne lagti hain
kya kahta hun main ye yaad nahin
bas yaad agar hai utna hai
jo baadal ghir ghir aae the
sab baadal chhaTne lagte hain
un achchhi aaankhon mein raushan
raushan raushan rim-jhim raushan
aansu hansne lagte hain
- Book : Sitara Ya Aasman (Pg. 96)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.