dukh se Khaali Khaali rona
maiñ huuñ yā tum ho
ye sach hai
apne andar ek qabīla har koī hai
jis ko shāyad
raat ko sahrā ke rone kā raaz pata hai
aisā ronā
duur kahīñ jaise kuchh bachche
sadiyoñ pahle ham ne jin ko qatl kiyā ho
aur vo apne qatl se pahle
ro.e chale jaate hoñ
yā phir
ye un rūhoñ kā ronā ho
jo insānī ruup meñ zāhir ho na sakī huuñ
ret ke Tīloñ ko chhū chhū kar
misl-e-havā
ro.e jaatī huuñ
aur qabīle ke bāshinde
ham
apne ḳhemoñ meñ leTe
apne aap se bāteñ karte
raat ko sahrā kī tanhā.ī kā ronā sunte rahte haiñ
sārañgī kī sur kī tarah sisaktā sahrā
ham sab meñ hai
lekin phir bhī
merā ronā
terā ronā
dukh se ḳhālī ḳhālī kyuuñ hai
main hun ya tum ho
ye sach hai
apne andar ek qabila har koi hai
jis ko shayad
raat ko sahra ke rone ka raaz pata hai
aisa rona
dur kahin jaise kuchh bachche
sadiyon pahle hum ne jin ko qatl kiya ho
aur wo apne qatl se pahle
roe chale jate hon
ya phir
ye un ruhon ka rona ho
jo insani rup mein zahir ho na saki hun
ret ke Tilon ko chhu chhu kar
misl-e-hawa
roe jati hun
aur qabile ke bashinde
hum
apne KHemon mein leTe
apne aap se baaten karte
raat ko sahra ki tanhai ka rona sunte rahte hain
sarangi ki sur ki tarah sisakta sahra
hum sab mein hai
lekin phir bhi
mera rona
tera rona
dukh se KHali KHali kyun hai
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 342)
- Author : ateequllah
- Publication : urdu academy (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.