dukh
ik jañgal hai ghanerā gahrā
uljhī shāḳhoñ ke rag-o-pai meñ sahamte patte
har taraf duur talak tez havā chīḳhtī hai
ābshār aate haiñ sadā kī mānind
aur sho.aloñ ke samundar ban kar
saañp lahreñ haiñ zabāñ ko khole
ek pur-asrār ḳhamoshī kī har ik samt pukār
har taraf daur bhī nazdīk bhī uupar nīche
ek gambhīr añdherā sahrā
ek jangal hai ghanera gahra
uljhi shaKHon ke rag-o-pai mein sahamte patte
har taraf dur talak tez hawa chiKHti hai
aabshaar aate hain sada ki manind
aur shoalon ke samundar ban kar
sanp lahren hain zaban ko khole
ek pur-asrar KHamoshi ki har ek samt pukar
har taraf daur bhi nazdik bhi upar niche
ek gambhir andhera sahra
- Book : Pakistani Adab (Pg. 172)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.