dukhon ki apni ek tafsir hoti hai
añdhere se
kashīd-e-sub.h kī
raushan gavāhī māñgne se
raat ke lamhe
na ghaTte haiñ
na baḌhte haiñ
kabhī gahre bhañvar ke beach uThtī
dūriyoñ kī dhuñd meñ lipTī
kisī kī sāhilī āvāz
dariyā kā kinārā bhī nahīñ hotī
dukhoñ kī apnī ik tafsīr hotī hai
jo apne lafz ḳhud ījād kartī hai
jo ḳhvāboñ se ulajhtī hai
jo ḳhvāboñ se ziyāda
mo'atabar hotī hai
lekin kashf kā lamha
masāfat kī hazāroñ manziloñ ke ba.ad aatā hai
numūd-e-gauhar-e-kamyāb kī saa.at meñ
ḳhālī sīpiyoñ kā Dher be-ma.anī nahīñ hotā
andhere se
kashid-e-subh ki
raushan gawahi mangne se
raat ke lamhe
na ghaTte hain
na baDhte hain
kabhi gahre bhanwar ke beach uThti
duriyon ki dhund mein lipTi
kisi ki sahili aawaz
dariya ka kinara bhi nahin hoti
dukhon ki apni ek tafsir hoti hai
jo apne lafz KHud ijad karti hai
jo KHwabon se ulajhti hai
jo KHwabon se ziyaada
mo'atabar hoti hai
lekin kashf ka lamha
masafat ki hazaron manzilon ke baad aata hai
numud-e-gauhar-e-kamyab ki saat mein
KHali sipiyon ka Dher be-mani nahin hota
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 499)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.