duniya ki jannat
ye schōl ye mere ḳhvāboñ kī jannat
ye viddyā kā sāgar kitāboñ kī jannat
yahāñ buddhimānī ke sote ravāñ haiñ
yahāñ kī zamīñ par na.e āsmāñ haiñ
vo sab phuul khilte haiñ jo is chaman meñ
mahakte haiñ khilte hī saare vatan meñ
añdherā nahīñ hai yahāñ raushnī hai
yahāñ har taraf zindagī zindagī hai
yahāñ koī hangāma hai aur na Dar hai
yahī ektā aur mohabbat kā ghar hai
safar apnā jaarī hai bas is yaqīñ se
uThegā nayā ek bhārat yahīñ se
vo bhārat ki jis meñ sabhī ek hoñge
vo apne hoñ yā ajnabī ek hoñge
na koī kisī se bhī nafrat karegā
har insāñ se insāñ mohabbat karegā
chalo aaj mil-jul ke māñgeñ duā.eñ
chaleñ phir yahāñ ektā kī havā.eñ
phir apne vatan ko ham aisā banā deñ
ki duniyā meñ duniyā ko jannat dikhā deñ
ye school ye mere KHwabon ki jannat
ye widdya ka sagar kitabon ki jannat
yahan buddhimani ke sote rawan hain
yahan ki zamin par nae aasman hain
wo sab phul khilte hain jo is chaman mein
mahakte hain khilte hi sare watan mein
andhera nahin hai yahan raushni hai
yahan har taraf zindagi zindagi hai
yahan koi hangama hai aur na Dar hai
yahi ekta aur mohabbat ka ghar hai
safar apna jari hai bas is yaqin se
uThega naya ek bhaarat yahin se
wo bhaarat ki jis mein sabhi ek honge
wo apne hon ya ajnabi ek honge
na koi kisi se bhi nafrat karega
har insan se insan mohabbat karega
chalo aaj mil-jul ke mangen duaen
chalen phir yahan ekta ki hawaen
phir apne watan ko hum aisa bana den
ki duniya mein duniya ko jannat dikha den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.