duniya ko kahan tak jaana hai
duniyā ko kahāñ tak jaanā hai
ye kitnā baḌā afsāna hai
sab kaan lagā.e baiThe haiñ
aur raat saraktī jaatī hai
ye raat kahāñ tak jaanī hai
kuchh is kā or-o-chhor nahīñ
ye raat samundar hai jis meñ
āvāz bahut hai rone kī
bas duur tilak tārīkī hai
kuchh duur zarā sī raushaniyāñ
phir tārīkī phir raushaniyāñ
ye raat balā kī maayā hai
jo kuchh kā kuchh kar detī hai
āñkhoñ ko jagātī hai barsoñ
phir niiñd kā dhakkā detī hai
phir ḳhvāb dikhātī hai barsoñ
phir ḳhvāboñ se chauñkātī hai
ye khel bhayānak rātoñ kā
insān kī nannhī zātoñ kā
ḳhush honā aur dahal jaanā
phir aañsū aañsū gal jaanā
is khel meñ jo bhī haar gayā
phir muTThī se sansār gayā
is khel meñ phañsnā hai pyāre
bas haath meñ jitnī miTTī hai
us miTTī se sansār banā
use apne aañsū kā paanī
use apne hijr kī garmī de
use mausam mausam narmī de
ise apne añg lagā pyāre
use apne rañg lagā pyāre
duniyā ko kahāñ tak jaanā hai
ye kitnā baḌā afsāna hai
ye bhed na koī jaan sakā
is bhed kā chakkar bhārī hai
duniya ko kahan tak jaana hai
ye kitna baDa afsana hai
sab kan lagae baiThe hain
aur raat sarakti jati hai
ye raat kahan tak jaani hai
kuchh is ka or-o-chhor nahin
ye raat samundar hai jis mein
aawaz bahut hai rone ki
bas dur tilak tariki hai
kuchh dur zara si raushaniyan
phir tariki phir raushaniyan
ye raat bala ki maya hai
jo kuchh ka kuchh kar deti hai
aankhon ko jagati hai barson
phir nind ka dhakka deti hai
phir KHwab dikhati hai barson
phir KHwabon se chaunkati hai
ye khel bhayanak raaton ka
insan ki nannhi zaton ka
KHush hona aur dahal jaana
phir aansu aansu gal jaana
is khel mein jo bhi haar gaya
phir muTThi se sansar gaya
is khel mein phansna hai pyare
bas hath mein jitni miTTi hai
us miTTi se sansar bana
use apne aansu ka pani
use apne hijr ki garmi de
use mausam mausam narmi de
ise apne ang laga pyare
use apne rang laga pyare
duniya ko kahan tak jaana hai
ye kitna baDa afsana hai
ye bhed na koi jaan saka
is bhed ka chakkar bhaari hai
- Book : mai.n ronaa chaahtaa huu.n (Pg. 122)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.