duniya mein koi kisi se mohabbat nahin karta
duniyā meñ koī kisī se mohabbat nahīñ kartā
har shaḳhs apnī zaat se mohabbat kartā hai
daraḳht kī shāḳheñ raushnī kī taraf lapaktī haiñ
to jaḌeñ namī kī
ham ne apne gird ḳhud-ġharzī kā jaal bichhā rakhā hai
dostī mohabbat svārth ke hī muḳhtalif naam haiñ
mujhe tum se mohabbat hai
ki vo merī zarūrat hai
aur har aadmī apnī zarūrat puurī kartā hai
tumheñ apnī bīviyoñ se mohabbat hai
ki vo tumhāre liye sahūliyāt farāham kartī haiñ
aur mujhe
apne bachchoñ se pyaar hai
ki merā svārth bahut hai in meñ
vo mar gayā
mujhe dukh huā maiñ ro paḌā
maiñ kyoñ royā
us se apne ta.alluq ke iz.hār ke liye
yā apnī un zarūriyāt ke liye jo vo puurī kartā thā
yā us ke us kirdār ke liye vo mere liye adā kartā thā
vo ab mere liye kuchh nahīñ kar sakegā
maiñ royā sirf apne liye
duniya mein koi kisi se mohabbat nahin karta
har shaKHs apni zat se mohabbat karta hai
daraKHt ki shaKHen raushni ki taraf lapakti hain
to jaDen nami ki
hum ne apne gird KHud-gharzi ka jal bichha rakha hai
dosti mohabbat swarth ke hi muKHtalif nam hain
mujhe tum se mohabbat hai
ki wo meri zarurat hai
aur har aadmi apni zarurat puri karta hai
tumhein apni biwiyon se mohabbat hai
ki wo tumhaare liye sahuliyat faraham karti hain
aur mujhe
apne bachchon se pyar hai
ki mera swarth bahut hai in mein
wo mar gaya
mujhe dukh hua main ro paDa
main kyon roya
us se apne talluq ke izhaar ke liye
ya apni un zaruriyat ke liye jo wo puri karta tha
ya us ke us kirdar ke liye wo mere liye ada karta tha
wo ab mere liye kuchh nahin kar sakega
main roya sirf apne liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.