duniya to ye kahti hai
duniyā to ye kahtī hai bahut mujh meñ hunar hai
maiñ chāhūñ to duniyā ko chaman-zār banā duuñ
aa jaatā hai in bātoñ meñ duniyā ke mirā dil
juT jaatā huuñ maiñ kaam meñ jī-jān lagā kar
phir be-ḳhabarī had se guzar jaatī hai merī
baTtā nahīñ chal paḌtā huuñ jab apnī Dagar par
ye dekh ke kuchh roz to chup rahtī hai duniyā
de jaatī hai nāgāh magar mujh ko daġhā bhī
is darja ḳhafā hotī hai vo merī ravish se
hogā na kabhī itnā ḳhafā merā ḳhudā bhī
duniyā ko nazar aate haiñ nā-vaqt bhī mujh meñ
vo aib ki phir kuchh mujhe karne nahīñ detī
pahuñchātī hai vo choT ki jī rahnā ho dushvār
marne ko huuñ tayyār to marne nahīñ detī
duniyā to ye kahtī hai bahut mujh meñ hunar hai
maiñ chāhūñ to duniyā ko chaman-zār banā duuñ
duniya to ye kahti hai bahut mujh mein hunar hai
main chahun to duniya ko chaman-zar bana dun
aa jata hai in baaton mein duniya ke mera dil
juT jata hun main kaam mein ji-jaan laga kar
phir be-KHabari had se guzar jati hai meri
baTta nahin chal paDta hun jab apni Dagar par
ye dekh ke kuchh roz to chup rahti hai duniya
de jati hai nagah magar mujh ko dagha bhi
is darja KHafa hoti hai wo meri rawish se
hoga na kabhi itna KHafa mera KHuda bhi
duniya ko nazar aate hain na-waqt bhi mujh mein
wo aib ki phir kuchh mujhe karne nahin deti
pahunchati hai wo choT ki ji rahna ho dushwar
marne ko hun tayyar to marne nahin deti
duniya to ye kahti hai bahut mujh mein hunar hai
main chahun to duniya ko chaman-zar bana dun
- Book : pushtara (Pg. 195)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.