barg-e-āvāra-sadā aa.e haiñ
koī āvāza-e-pā laa.e haiñ
tere paiġhām-rasāñ haiñ shāyad
aur paimān-e-vafā laa.e haiñ
guftugū narm hai lahja dhīmā
ab ke andāz judā laa.e haiñ
ik nadāmat bhī hai pachhtāvā bhī
ḳhiffar-e-jurm-o-jafā laa.e haiñ
aañkh meñ ashk pashemānī ke
hoñT par harf-e-duā laa.e haiñ
saare sāmān rafūgarī ke
jeb o dāman meñ uThā laa.e haiñ
marham-e-zaḳhm ke ambār ke saath
pāra-e-ḳhāk-e-shifā laa.e haiñ
shāḳh-e-zaitūn bhī ammāme bhī haiñ
aur abā.eñ bhī silā laa.e haiñ
hajr-e-asvad ne chhuā hai jis ko
ek aisī bhī ridā laa.e haiñ
kuchh madīne kī khujūroñ ke tabaq
kāsa-e-sar pe sajā laa.e haiñ
ek mashkīza-e-āb-e-zamzam
pusht-e-nāzuk pe uThā laa.e haiñ
agle pichhle sabhī maqtūloñ kā
goyā ki ḳhūn-bahā laa.e haiñ
barg-e-awara-sada aae hain
koi aawaza-e-pa lae hain
tere paigham-rasan hain shayad
aur paiman-e-wafa lae hain
guftugu narm hai lahja dhima
ab ke andaz juda lae hain
ek nadamat bhi hai pachhtawa bhi
KHiffar-e-jurm-o-jafa lae hain
aankh mein ashk pashemani ke
honT par harf-e-dua lae hain
sare saman rafugari ke
jeb o daman mein uTha lae hain
marham-e-zaKHm ke ambar ke sath
para-e-KHak-e-shifa lae hain
shaKH-e-zaitun bhi ammame bhi hain
aur abaen bhi sila lae hain
hajr-e-aswad ne chhua hai jis ko
ek aisi bhi rida lae hain
kuchh madine ki khujuron ke tabaq
kasa-e-sar pe saja lae hain
ek mashkiza-e-ab-e-zamzam
pusht-e-nazuk pe uTha lae hain
agle pichhle sabhi maqtulon ka
goya ki KHun-baha lae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.