Dubne se pahle
koī jaane vaale jahāzoñ ko roke
koī un ko jā kar batā.e
magar kaun jaane
ki chāroñ taraf
chīḳhtī bhāgtī andhī pāgal havā ke alāva
merī zaat hai
aur maiñ
apne andar utarne lagā huuñ!
jahāz ab kahāñ haiñ
kahāñ hai samundar!
havā kis taraf bhāgtī hai
samundar jahāz aur havā aur meñ
sab ke sab apne andar utarne lage haiñ!
koī un ko roke
magar kaun roke
ki hadd-e-nazar tak merī zaat hai
aur maiñ
apne andar hī andar utarne lagā hūñ!!
koi jaane wale jahazon ko roke
koi un ko ja kar batae
magar kaun jaane
ki chaaron taraf
chiKHti bhagti andhi pagal hawa ke alawa
meri zat hai
aur main
apne andar utarne laga hun!
jahaz ab kahan hain
kahan hai samundar!
hawa kis taraf bhagti hai
samundar jahaz aur hawa aur mein
sab ke sab apne andar utarne lage hain!
koi un ko roke
magar kaun roke
ki hadd-e-nazar tak meri zat hai
aur main
apne andar hi andar utarne laga hun!!
- Book : Raat Idhar Udhar Rooshan (Pg. 273)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.