Dubte suraj ki sargoshi
Dher kirchiyoñ ke
aañkh meñ haiñ lekin
aa.ine nauhā
har kisī qalam kī dastaras se bāhar
raushnī ke ghar meñ
tīrgī kā patthar
kis taraf se aayā
kaun hai vo āḳhir
jo pas-e-tamāshā muskurā rahā hai
ik savāl hotī hai
zindagī nagar kī
surḳhiyāñ ḳhabar kī khojtī hai lekin
ḳhvāb ke safar kī sā.atoñ pe qadġhan
soch rehn-e-sar hai
niiñd kī sahar jo
qarya-e-tamannā luuT le gayā
us ke naqsh-e-pā bhī
chun liye havā ne
munsifī ke daa.ī
be-yaqīn mausam bāñTte haiñ ghar ghar
aur haDDiyoñ ke nā-tavāñ se panjar
surḳh battiyoñ ke ḳhauf kī saḌak par
siren bajātī ek nā-gahānī
tā-abad ta.āqub
ḳhatm hai kahānī
Dher kirchiyon ke
aankh mein hain lekin
aaine nauha
har kisi qalam ki dastaras se bahar
raushni ke ghar mein
tirgi ka patthar
kis taraf se aaya
kaun hai wo aaKHir
jo pas-e-tamasha muskura raha hai
ek sawal hoti hai
zindagi nagar ki
surKHiyan KHabar ki khojti hai lekin
KHwab ke safar ki saaton pe qadghan
soch rehn-e-sar hai
nind ki sahar jo
qarya-e-tamanna luT le gaya
us ke naqsh-e-pa bhi
chun liye hawa ne
munsifi ke dai
be-yaqin mausam banTte hain ghar ghar
aur haDDiyon ke na-tawan se panjar
surKH battiyon ke KHauf ki saDak par
siren bajati ek na-gahani
ta-abad taaqub
KHatm hai kahani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.