dudh ka jala
ik aahaT sī
dastak ban kar
mire dilkash rañg bhare ḳhvāboñ kī taal banī
phir sar meñ Dhalī
ik giit lahū meñ phail gayā
maiñ is ko peñg banā letī
maiñ qaus-e-quzah ko chhū aatī
par giit kā sar hī TuuT gayā
aur sapnā saarā jhuuT huā
ab pahar Dhale
shab galiyoñ meñ jab ghūmtī hai
jab aahaT dastak bantī hai
maiñ sochtī huuñ
hai kaun bhalā
koī hai bhī sahī
ek aahaT si
dastak ban kar
mere dilkash rang bhare KHwabon ki tal bani
phir sar mein Dhali
ek git lahu mein phail gaya
main is ko peng bana leti
main qaus-e-quzah ko chhu aati
par git ka sar hi TuT gaya
aur sapna sara jhuT hua
ab pahar Dhale
shab galiyon mein jab ghumti hai
jab aahaT dastak banti hai
main sochti hun
hai kaun bhala
koi hai bhi sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.