dur bahut dur insan shahrah-e-irtiqa par
ai gardish-e-ayyām bas ab rok na mujh ko
ai kāvish-e-anjām bas ab rok na mujh ko
ai laġhzish-har-gām bas ab rok na mujh ko
jaanā hai mujhe duur bahut duur bahut duur
sarmāya-o-sāzish ke fareboñ se guzar kar
hangāma-o-shorish ke fareboñ se guzar kar
har mantiq-o-dānish ke fareboñ se guzar kar
jaanā hai mujhe duur bahut duur bahut duur
vo jannat-e-shaddād ho yā ātish-e-namrūd
har manzil-e-mauhūm nahīñ manzil-e-maqsūd
kāmil hai agar shauq to rāheñ nahīñ masdūd
jaanā hai mujhe duur bahut duur bahut duur
ḳhār-o-ḳhas-o-ḳhāshāk kī duniyā se bhī aage
mehr-o-mah-o-aflāk kī duniyā se bhī aage
taḳh.īl kī idrāk kī duniyā se bhī aage
jaanā hai mujhe duur bahut duur bahut duur
ai gardish-e-ayyam bas ab rok na mujh ko
ai kawish-e-anjam bas ab rok na mujh ko
ai laghzish-har-gam bas ab rok na mujh ko
jaana hai mujhe dur bahut dur bahut dur
sarmaya-o-sazish ke farebon se guzar kar
hangama-o-shorish ke farebon se guzar kar
har mantiq-o-danish ke farebon se guzar kar
jaana hai mujhe dur bahut dur bahut dur
wo jannat-e-shaddad ho ya aatish-e-namrud
har manzil-e-mauhum nahin manzil-e-maqsud
kaamil hai agar shauq to rahen nahin masdud
jaana hai mujhe dur bahut dur bahut dur
KHar-o-KHas-o-KHashak ki duniya se bhi aage
mehr-o-mah-o-aflak ki duniya se bhi aage
taKHil ki idrak ki duniya se bhi aage
jaana hai mujhe dur bahut dur bahut dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.