dur is duniya se
duur is duniyā se ho koī jahāñ mere liye
is jahāñ meñ to nahīñ amn-o-amāñ mere liye
ik jahāñ jis meñ na ho fikr-o-taraddud kā hujūm
ik jahāñ jis meñ na ho shor-e-fuġhāñ mere liye
ik jahāñ jis meñ mujhe amn-o-farāġhat ho nasīb
zindagī jis meñ na ho bār-e-garāñ mere liye
ik jahāñ jis meñ na ho kuchh mā-o-tū kā imtiyāz
ik jahāñ āzād-e-qaid-e-īn-o-āñ mere liye
ik jahāñ jis meñ na ho ilm-o-ḳhirad kī dār-o-gīr
ho na jis meñ kāvish-e-sūd-o-ziyāñ mere liye
ik jahāñ jis meñ na ho buġhz-o-adāvat kā vajūd
aur mohabbat hī mohabbat ho jahāñ mere liye
ik jahāñ jis meñ mirā qaul-o-amal ho mo'atabar
har qadam par hoñ na jis meñ imtihāñ mere liye
ik jahāñ jis meñ na ho ishq-o-mohabbat ko zavāl
husn kā gulshan ho jis meñ be-ḳhizāñ mere liye
be-riyā.ī ho jahāñ ke basne vāloñ kā shi.ār
aur mohabbat meñ sadāqat ho jahāñ mere liye
zāhir-o-bātin jahāñ ke rahne vāloñ kā ho ek
hoñ na ḳhanjar āstīnoñ meñ jahāñ mere liye
zindagānī ho jahāñ ik ḳhvāb-e-shīrīñ kī misāl
har-nafas jis kā ho umr-e-jāvedāñ mere liye
jis kā har zarra ho ik duniyā-e-nā-paidā-kanār
jis kā har qatra ho bahr-e-be-karāñ mere liye
duur is duniyā se ho aisā jahāñ mere liye
is jahāñ meñ to nahīñ amn-o-amāñ mere liye
dur is duniya se ho koi jahan mere liye
is jahan mein to nahin amn-o-aman mere liye
ek jahan jis mein na ho fikr-o-taraddud ka hujum
ek jahan jis mein na ho shor-e-fughan mere liye
ek jahan jis mein mujhe amn-o-faraghat ho nasib
zindagi jis mein na ho bar-e-garan mere liye
ek jahan jis mein na ho kuchh ma-o-tu ka imtiyaz
ek jahan aazad-e-qaid-e-in-o-an mere liye
ek jahan jis mein na ho ilm-o-KHirad ki dar-o-gir
ho na jis mein kawish-e-sud-o-ziyan mere liye
ek jahan jis mein na ho bughz-o-adawat ka wajud
aur mohabbat hi mohabbat ho jahan mere liye
ek jahan jis mein mera qaul-o-amal ho mo'atabar
har qadam par hon na jis mein imtihan mere liye
ek jahan jis mein na ho ishq-o-mohabbat ko zawal
husn ka gulshan ho jis mein be-KHizan mere liye
be-riyai ho jahan ke basne walon ka shiar
aur mohabbat mein sadaqat ho jahan mere liye
zahir-o-baatin jahan ke rahne walon ka ho ek
hon na KHanjar aastinon mein jahan mere liye
zindagani ho jahan ek KHwab-e-shirin ki misal
har-nafas jis ka ho umr-e-jawedan mere liye
jis ka har zarra ho ek duniya-e-na-paida-kanar
jis ka har qatra ho bahr-e-be-karan mere liye
dur is duniya se ho aisa jahan mere liye
is jahan mein to nahin amn-o-aman mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.