dur ka safar
maiñ nān-e-soḳhta kā zā.iqa
utārtā huuñ
roz-o-shab
zabān par
ki us kī hamdamī meñ
dostī meñ
umr ke nasheb meñ
agar maiñ Dhal sakūñ
to fasl āftāb kā
vo barg-e-zard ban sakūñ
jo dā.ere kī intihā pe sirf
mausamoñ ke ḳhvāb dekhtā huuñ
sub.h-o-shām sochtā huuñ
aarzū
fareb-kār shāhida
kahāñ milī thī aur kaun se hasīn moḌ tak
chalegī mere saath mere saath
jū-e-āb jū-e-mai
ridā-e-ḳhāk
duur ke safar ke log
bad-gumāñ sā.atoñ ke shahr
maiñ chalūñgā
maiñ dasht-o-kohsār kī
udaas hijratoñ ko
nannhī-munnī loriyāñ sunā.ūñgā
maiñ jañgaloñ kī
sansanāhaToñ ke paar jā.ūñgā
main nan-e-soKHta ka zaiqa
utarta hun
roz-o-shab
zaban par
ki us ki hamdami mein
dosti mein
umr ke nasheb mein
agar main Dhal sakun
to fasl aaftab ka
wo barg-e-zard ban sakun
jo daere ki intiha pe sirf
mausamon ke KHwab dekhta hun
subh-o-sham sochta hun
aarzu
fareb-kar shahida
kahan mili thi aur kaun se hasin moD tak
chalegi mere sath mere sath
ju-e-ab ju-e-mai
rida-e-KHak
dur ke safar ke log
bad-guman saaton ke shahr
main chalunga
main dasht-o-kohsar ki
udas hijraton ko
nannhi-munni loriyan sunaunga
main jangalon ki
sansanahaTon ke par jaunga
- Book : Lambi Barish (Pg. 157)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.