dur ki aawaz
mere mahbūb des kī galiyo
tum ko aur apne dostoñ ko salām
apne zaḳhmī shabāb ko taslīm
apne bachpan ke qahqahoñ ko salām
umr bhar ke liye tumhāre paas
rah ga.ī hai shaguftagī merī
āḳhirī raat ke udaas diyo
yaad hai tum ko bebasī merī
yaad hai tum ko jab bhulā.e the
umr-bhar ke kiye hue va.ade
rasm-o-maz.hab kī ik pujāran ne
ek chāñdī ke devtā ke liye
jaane is kār-gāh-e-hastī meñ
us ko vo devtā milā ki nahīñ
merī kaliyoñ kā ḳhuun pī kar bhī
us kā apnā kañval khilā ki nahīñ
āj-kal us ke apne dāman meñ
pyaar ke giit haiñ ki paise haiñ
tum ko ma.alūm ho to batlānā
us ke āñchal ke rañg kaise haiñ
mujh ko āvāz do ki sub.h kī os
kyā mujhe ab bhī yaad kartī hai
mere ghar kī udaas chaukhaT par
kyā kabhī chāñdnī utartī hai
mere mahbub des ki galiyo
tum ko aur apne doston ko salam
apne zaKHmi shabab ko taslim
apne bachpan ke qahqahon ko salam
umr bhar ke liye tumhaare pas
rah gai hai shaguftagi meri
aaKHiri raat ke udas diyo
yaad hai tum ko bebasi meri
yaad hai tum ko jab bhulae the
umr-bhar ke kiye hue wade
rasm-o-mazhab ki ek pujaran ne
ek chandi ke dewta ke liye
jaane is kar-gah-e-hasti mein
us ko wo dewta mila ki nahin
meri kaliyon ka KHun pi kar bhi
us ka apna kanwal khila ki nahin
aaj-kal us ke apne daman mein
pyar ke git hain ki paise hain
tum ko malum ho to batlana
us ke aanchal ke rang kaise hain
mujh ko aawaz do ki subh ki os
kya mujhe ab bhi yaad karti hai
mere ghar ki udas chaukhaT par
kya kabhi chandni utarti hai
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Shahr-e-Aazar) (Pg. 88)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.