maiñ to paidā.ish hī se ik shahzādī thī
husn mire paikar meñ yuuñ dar aayā thā
siñghār ke ā.īne meñ jab maiñ jhāñktī to
ḳhud par shaidā hone lagtī
ḳhvāhish mere dil meñ paidā hone lagtī
ki merī puujā log kareñ
sar lā ke mire qadmoñ par dhareñ
lekin jab maiñ ne añgḌā.ī se husn pe apne naaz kiyā
mahsūs kiyā ki duniyā ko nārāz kiyā
thūkā nafrat se logoñ ne
aur mujh ko nā-hanjār kahā
badkār kahā
ik roz unhoñ ne bāloñ se mere afshāñ
merī nochī, noche kānoñ se āveze
bāñhoñ se chūḌī aur kaḌe
yuuñ hāthoñ kānoñ se mujh ko nañgī kar ke
ik zindāñ meñ Daal diyā
qumchī ke nishānoñ se merā shaffāf badan
niilā thā magar
maiñ ne na jhukāyā apnā sar
ki maiñ to paidā.ish hī se thī ik sultāna
jab thaam ke maiñ dīvār uThī
to tab bhī merī chaal meñ thā
pahlā sā vaqār-e-shāhāna
be-dāġh ik ā.īne ke gahre bātin meñ
apne raushan māthe pe likhe
asrār jo paḌhnā chāhtī maiñ
Dar jaatī maiñ
ye pūchhtī ḳhud se ''kaun hai tū?''
āmāq se merī ruuh ke ik āvāz ubhar kar ye kahtī
hai'' terī duniyā duur kahīñ''
us lamhe ke phailāv meñ maiñ Dar ke samā.ī rahtī thī
āñkhoñ se mirī ashkoñ kī dhārā bahtī thī
thā mujh ko yaqīñ ik roz mirā shohra sun kar
chaar ā.īna bāñdhe aa.egā
merā pujārī shahzāda
aur qaid se merī mujh ko chhuḌā le jā.egā
sūraj kī rath-gāḌī mere sar par se roz guzartī thī
āñgan meñ utarte saa.e ko maiñ ḳhauf se dekhā kartī thī
jab vo na mujhe lene aayā
to ik din maiñ ne maut se minnat kī ki aa
ai merī mohram! mujh meñ samā
vo merā kahnā maan ke mujh meñ yuuñ mastāna dar aa.ī
ki mere ḳhuun meñ chhan chhan ghuñghrū baj uTThe
maiñ jhuum uThī
aur chāñd ke daf par āñgan meñ shab bhar nāchī-
us sub.h unhoñ ne mere badan ko chaukhaT par murda paayā
main to paidaish hi se ek shahzadi thi
husn mere paikar mein yun dar aaya tha
singhaar ke aaine mein jab main jhankti to
KHud par shaida hone lagti
KHwahish mere dil mein paida hone lagti
ki meri puja log karen
sar la ke mere qadmon par dharen
lekin jab main ne angDai se husn pe apne naz kiya
mahsus kiya ki duniya ko naraaz kiya
thuka nafrat se logon ne
aur mujh ko na-hanjar kaha
badkar kaha
ek roz unhon ne baalon se mere afshan
meri nochi, noche kanon se aaweze
banhon se chuDi aur kaDe
yun hathon kanon se mujh ko nangi kar ke
ek zindan mein Dal diya
qumchi ke nishanon se mera shaffaf badan
nila tha magar
main ne na jhukaya apna sar
ki main to paidaish hi se thi ek sultana
jab tham ke main diwar uThi
to tab bhi meri chaal mein tha
pahla sa waqar-e-shahana
be-dagh ek aaine ke gahre baatin mein
apne raushan mathe pe likhe
asrar jo paDhna chahti main
Dar jati main
ye puchhti KHud se kaun hai tu?
aamaq se meri ruh ke ek aawaz ubhar kar ye kahti
hai teri duniya dur kahin
us lamhe ke phailaw mein main Dar ke samai rahti thi
aankhon se meri ashkon ki dhaara bahti thi
tha mujh ko yaqin ek roz mera shohra sun kar
chaar aaina bandhe aaega
mera pujari shahzada
aur qaid se meri mujh ko chhuDa le jaega
suraj ki rath-gaDi mere sar par se roz guzarti thi
aangan mein utarte sae ko main KHauf se dekha karti thi
jab wo na mujhe lene aaya
to ek din main ne maut se minnat ki ki aa
ai meri mohram! mujh mein sama
wo mera kahna man ke mujh mein yun mastana dar aai
ki mere KHun mein chhan chhan ghunghru baj uTThe
main jhum uThi
aur chand ke daf par aangan mein shab bhar nachi-
us subh unhon ne mere badan ko chaukhaT par murda paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.