dur tak yaad-e-watan aai thi samjhane ko
ham bhī ārām uThā sakte the ghar par rah kar
ham ko bhī paalā thā māñ-bāp ne dukh sah sah kar
vaqt-e-ruḳhsat unheñ itnā bhī na aa.e kah kar
god meñ aañsū kabhī Tapke jo ruḳh se bah kar
tifl un ko hī samajh lenā jī bahlāne ko
desh sevā hī kā bahtā hai lahū nas nas meñ
ab to khā baiThe haiñ chittauḌ ke gaḌ.h kī qasmeñ
sarfaroshī kī adā hotī haiñ yuuñ hī rasmeñ
bhaa.ī ḳhanjar se gale milte haiñ sab aapas meñ
bahneñ tayyār chitāoñ pe haiñ jal jaane ko
naujavānoñ jo tabī.at meñ tumhārī khaTke
yaad kar lenā kabhī ham ko bhī bhūle-bhaTke
aap ke uzv-e-badan hoveñ judā kaT kaT ke
aur sad-chāk ho maatā kā kaleja phaTke
par na māthe pe shikan aa.e qasam khāne ko
apnī qismat meñ azal se hī sitam rakkhā thā
rañj rakkhā thā mehan rakkhā thā ġham rakkhā thā
kis ko parvāh thā aur kis meñ ye dam rakkhā thā
ham ne jab vādī-e-ġhurbat meñ qadam rakkhā thā
duur tak yād-e-vatan aa.ī thī samjhāne ko
apnā kuchh ġham nahīñ hai par ye ḳhayāl aatā hai
mādar-e-hind pe kab se ye zavāl aatā hai
desh āzādī kā kab hind meñ saal aatā hai
qaum apnī pe to rah rah ke malāl aatā hai
muntazir rahte haiñ ham ḳhaak meñ mil jaane ko
hum bhi aaram uTha sakte the ghar par rah kar
hum ko bhi pala tha man-bap ne dukh sah sah kar
waqt-e-ruKHsat unhen itna bhi na aae kah kar
god mein aansu kabhi Tapke jo ruKH se bah kar
tifl un ko hi samajh lena ji bahlane ko
desh sewa hi ka bahta hai lahu nas nas mein
ab to kha baiThe hain chittauD ke gaDh ki qasmen
sarfaroshi ki ada hoti hain yun hi rasmen
bhai KHanjar se gale milte hain sab aapas mein
bahnen tayyar chitaon pe hain jal jaane ko
naujawanon jo tabiat mein tumhaari khaTke
yaad kar lena kabhi hum ko bhi bhule-bhaTke
aap ke uzw-e-badan howen juda kaT kaT ke
aur sad-chaak ho mata ka kaleja phaTke
par na mathe pe shikan aae qasam khane ko
apni qismat mein azal se hi sitam rakkha tha
ranj rakkha tha mehan rakkha tha gham rakkha tha
kis ko parwah tha aur kis mein ye dam rakkha tha
hum ne jab wadi-e-ghurbat mein qadam rakkha tha
dur tak yaad-e-watan aai thi samjhane ko
apna kuchh gham nahin hai par ye KHayal aata hai
madar-e-hind pe kab se ye zawal aata hai
desh aazadi ka kab hind mein sal aata hai
qaum apni pe to rah rah ke malal aata hai
muntazir rahte hain hum KHak mein mil jaane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.