duri
dhuul uḌātī hai ḳhayāloñ kī guzar gāhoñ meñ
rail kī paTriyāñ phailī haiñ jahāñ tak bhī nazar jaatī hai
daur-e-hāzir ne masāfat kā bharam toḌ diyā
fāsle raat kī dīvār kī mānind nahīñ
phir bhī ham duur bahut duur rahe haiñ ab tak
dhul uDati hai KHayalon ki guzar gahon mein
rail ki paTriyan phaili hain jahan tak bhi nazar jati hai
daur-e-hazir ne masafat ka bharam toD diya
fasle raat ki diwar ki manind nahin
phir bhi hum dur bahut dur rahe hain ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.