duri
tum bhī ab na miTā pāoge
shāyad merī tanhā.ī ko
mere lahū kī saarī būñde
birah kī aag meñ jaltī haiñ
mere aañsū ke sab chashme
merī āñkhoñ ke sab motī
zahr ke ik gahre sāgar meñ
jā jā kar kho jaate haiñ
kitnī rāhat pahuñchātī hai
saañs tumhārī qurbat kī
aur tumhāre pahlū meñ
kitnī nashe se bojhal nīñdeñ
lorī mujh ko sunātī haiñ
haa.e vo rāteñ haa.e vo lamhe
haa.e vo un kī shīrīnī
tum se mil kar tum se lipaT kar
lag ke tumhāre siine se jab
thoḌī der ko so jaatā huuñ
tum ko pā kar kho jaatā huuñ
aisī gahrī nīñdeñ phir bhī
jaane aisā kyoñ lagtā hai
mere man ke andar jaise
koī ab bhī jaag rahā hai
koī ab bhī tum se judā hai
koī ab bhī mash'al le kar
raah tumhārī dekh rahā hai
tum bhi ab na miTa paoge
shayad meri tanhai ko
mere lahu ki sari bunde
birah ki aag mein jalti hain
mere aansu ke sab chashme
meri aankhon ke sab moti
zahr ke ek gahre sagar mein
ja ja kar kho jate hain
kitni rahat pahunchati hai
sans tumhaari qurbat ki
aur tumhaare pahlu mein
kitni nashe se bojhal ninden
lori mujh ko sunati hain
hae wo raaten hae wo lamhe
hae wo un ki shirini
tum se mil kar tum se lipaT kar
lag ke tumhaare sine se jab
thoDi der ko so jata hun
tum ko pa kar kho jata hun
aisi gahri ninden phir bhi
jaane aisa kyon lagta hai
mere man ke andar jaise
koi ab bhi jag raha hai
koi ab bhi tum se juda hai
koi ab bhi mash'al le kar
rah tumhaari dekh raha hai
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 139)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.