duri
mirī nazar meñ hai ab tak vo shaam vo mahfil
vo ik hujūm-e-tarb vo nashāt-e-naġhma-o-nūr
sharīr laḌkiyāñ rañgīn titliyāñ betāb
laboñ pe gul-kada-e-guftugū khilā.e hue
vo qahqahe vo masarrat kī nuqra.ī jhankār
aur is hujūm meñ tum jaise gulsitāñ meñ bahār
maiñ apne gosha-e-kam-tāb meñ hujūm se duur
udaas nazroñ meñ maddham diye jalā.e hue
tum aa.iiñ hañstī huī aa.iiñ barq ke mānind
mire qarīb se kitnī qarīb se guzrīñ
bhaḌaktā sho.ala thā jaise vo gosha-e-kam-tāb
mire qarīb ho aur kis qadar qarīb ho aaj
nazar nazar meñ liye qahqahoñ kī tābānī
fazā meñ chāñd kī kirneñ nikhar ke bikhrī haiñ
magar kabhī kabhī jis tarah koī saaya sā
tumhārī palkoñ se kuchh kah ke lauT jaatā hai
dabī dabī vahī sargoshiyāñ vahī āvāz
ki is jamāl o masarrat kī tah meñ pinhāñ hai
vo rūh-e-tīra jise ik kiran nasīb nahīñ
mire qarīb ho aur kitnī duur ho mujh se
ḳhushī kā saath to hai āñsuoñ kā saath nahīñ
hañso aur itnā hañso tum baras paḌeñ āñkheñ
phir in sulagte hue āñsuoñ meñ bah jaa.e
vo dard aur vo duurī jo qahqahoñ meñ hai
meri nazar mein hai ab tak wo sham wo mahfil
wo ek hujum-e-tarb wo nashat-e-naghma-o-nur
sharir laDkiyan rangin titliyan betab
labon pe gul-kada-e-guftugu khilae hue
wo qahqahe wo masarrat ki nuqrai jhankar
aur is hujum mein tum jaise gulsitan mein bahaar
main apne gosha-e-kam-tab mein hujum se dur
udas nazron mein maddham diye jalae hue
tum aain hansti hui aain barq ke manind
mere qarib se kitni qarib se guzrin
bhaDakta shoala tha jaise wo gosha-e-kam-tab
mere qarib ho aur kis qadar qarib ho aaj
nazar nazar mein liye qahqahon ki tabani
faza mein chand ki kirnen nikhar ke bikhri hain
magar kabhi kabhi jis tarah koi saya sa
tumhaari palkon se kuchh kah ke lauT jata hai
dabi dabi wahi sargoshiyan wahi aawaz
ki is jamal o masarrat ki tah mein pinhan hai
wo ruh-e-tira jise ek kiran nasib nahin
mere qarib ho aur kitni dur ho mujh se
KHushi ka sath to hai aansuon ka sath nahin
hanso aur itna hanso tum baras paDen aankhen
phir in sulagte hue aansuon mein bah jae
wo dard aur wo duri jo qahqahon mein hai
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 51)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.