duriyan
mire hoñT
us kī gardan ke nīche
daa.eñ jānib
mire sar pe ik mehrbān haath
mirī būḌhī maañ kā
baabā kī khāñsī kī mānūs āvāz
vaqfe vaqfe se aatī huī
ek cigarette sulagtā huā
uñgliyoñ meñ
chandar paikar
raakh kī tarah
jotī kī mānind naqsheñ
siyah ash-tray meñ
mere honT
us ki gardan ke niche
daen jaanib
mere sar pe ek mehrban hath
meri buDhi man ka
baba ki khansi ki manus aawaz
waqfe waqfe se aati hui
ek cigarette sulagta hua
ungliyon mein
chandar paikar
rakh ki tarah
joti ki manind naqshen
siyah ash-tray mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.