dusra aadmi
suno aaj ham meñ se kisī ko maut ne taakā
achānak mar gayā koī
chalo daarū piyeñ dīvār se sar phoḌ ke ro.eñ
nasha utre to us kī yaad meñ ik marsiya likkheñ
purāne tazkaroñ meñ us ke ḳhadd-o-ḳhāl ko DhūñDeñ
kitāboñ ke varaq ulTeñ
risāloñ aur aḳhbāroñ kī pichhlī fileñ kholeñ
dimāġh o dil ke goshe meñ chhupī yādeñ kuredeñ
talḳhiyāñ bhūleñ
farāmoshī kī saarī gard jhāḌeñ
ranjisheñ bhūleñ
har ik ḳhūbī ham us ke naam se mansūb kar deñ
aur aise shaḳhs ko paikar tarāsheñ
kal jo apne darmiyāñ zinda nahīñ thā
suno aaj hum mein se kisi ko maut ne taka
achanak mar gaya koi
chalo daru piyen diwar se sar phoD ke roen
nasha utre to us ki yaad mein ek marsiya likkhen
purane tazkaron mein us ke KHadd-o-KHal ko DhunDen
kitabon ke waraq ulTen
risalon aur aKHbaron ki pichhli filen kholen
dimagh o dil ke goshe mein chhupi yaaden kureden
talKHiyan bhulen
faramoshi ki sari gard jhaDen
ranjishen bhulen
har ek KHubi hum us ke nam se mansub kar den
aur aise shaKHs ko paikar tarashen
kal jo apne darmiyan zinda nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.