dusra bistar
sajā.e ḳhvāb āñkhoñ meñ
sahar se shaam tak
anjān rāhoñ meñ
ubharte Dūbte sāyoñ ko taktī hai
koī shahzāda aa jaa.e
banā kar ḳhvāb kā hissa
use le kar chalā jaa.e
khulā rahtā hai har lamha
darīcha dard kā us ke
magar aatā nahīñ koī
siyāhī shaam Dhalte hī
nigal jaatī hai ḳhvāboñ ko
ujāloñ chhoḌ jaatā hai
use phir dūsrā bistar sajāne ko
sajae KHwab aankhon mein
sahar se sham tak
anjaan rahon mein
ubharte Dubte sayon ko takti hai
koi shahzada aa jae
bana kar KHwab ka hissa
use le kar chala jae
khula rahta hai har lamha
daricha dard ka us ke
magar aata nahin koi
siyahi sham Dhalte hi
nigal jati hai KHwabon ko
ujalon chhoD jata hai
use phir dusra bistar sajaane ko
- Book : Khayal Darya (Nazmein) (Pg. 107)
- Author : Adil Hayat
- Publication : Arshia Publications (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.