dusra janam
āfrīnash samay Daal diije ḳhudāyā
badan meñ tanavvo kī hairat-garī
merī maurūsiyat kī jaḌoñ meñ har ik saañs letī ikaa.ī ke ḳhaliyoñ kī miTTī bane
riiḌh kī markazī jāliyoñ meñ ajā.ib-kadoñ kā ḳhazāna chhupe
mere hāthoñ pe bhaTke hue rāh-gīroñ kī manzil kā naqsha bane
aur āñkhoñ kī in putliyoñ meñ tilismī charāġhoñ kā jañgal base
apnī āñkhoñ kī is raushnī se zamīñ kī tahoñ ko farozāñ karūñ
aur fāqa-kashoñ kī zamīnoñ meñ gehūñ kī sūrat uguuñ
be-vatan kashtiyoñ ke muhājir qabīloñ kā māñjhī banūñ
sard parbat kī tīkhī havāoñ ko sahte makīnoñ kā sūraj banūñ
aur azal se guphāoñ ke tārīk manzar meñ pahlī shuāoñ kā muzhda banūñ
haDDiyāñ noch khāte hue devtāoñ ke sīnoñ meñ paltī havas kā safāyā karūñ
khurdure paañv vāloñ ke paañv tale
maḳhmalīñ sabz sapne bichhātī huī ghaas kā ek rasta banūñ
ye jo mumkin na ho to mirī ḳhaak se chand girte makānoñ kī dīvār ko hī uThā dījiye
merī miTTī se maskan banā dījiye
aafrinash samay Dal dije KHudaya
badan mein tanawwo ki hairat-gari
meri maurusiyat ki jaDon mein har ek sans leti ikai ke KHaliyon ki miTTi bane
riDh ki markazi jaliyon mein ajaib-kadon ka KHazana chhupe
mere hathon pe bhaTke hue rah-giron ki manzil ka naqsha bane
aur aankhon ki in putliyon mein tilismi charaghon ka jangal base
apni aankhon ki is raushni se zamin ki tahon ko farozan karun
aur faqa-kashon ki zaminon mein gehun ki surat ugun
be-watan kashtiyon ke muhajir qabilon ka manjhi banun
sard parbat ki tikhi hawaon ko sahte makinon ka suraj banun
aur azal se guphaon ke tarik manzar mein pahli shuaon ka muzhda banun
haDDiyan noch khate hue dewtaon ke sinon mein palti hawas ka safaya karun
khurdure panw walon ke panw tale
maKHmalin sabz sapne bichhati hui ghas ka ek rasta banun
ye jo mumkin na ho to meri KHak se chand girte makanon ki diwar ko hi uTha dijiye
meri miTTi se maskan bana dijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.