dusra janam
aaj ākāsh se bādal kī churā kar dhaḌkan
band kamre meñ zamistāñ kī havā aa.ī hai
ḳhushk pattoñ ne koī chaap bunī hai jaise
kisī kangan ke chhanakne kī sadā aa.ī hai
ġham kī agnī meñ ḳhalish raakh huī thī jin kī
phir vahī dard nayā ruup liye baiThe haiñ
kis ne chheḌā ki rag-e-jāñ se lahū phuuT paḌā
ham samajhte the ki ham zaḳhm siiye baiThe haiñ
aaj aakash se baadal ki chura kar dhaDkan
band kamre mein zamistan ki hawa aai hai
KHushk patton ne koi chap buni hai jaise
kisi kangan ke chhanakne ki sada aai hai
gham ki agni mein KHalish rakh hui thi jin ki
phir wahi dard naya rup liye baiThe hain
kis ne chheDa ki rag-e-jaan se lahu phuT paDa
hum samajhte the ki hum zaKHm siye baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.