dusra jism
aaj pat-jhaḌ se jīvan meñ pahle-pahal
mere be-rang banjar badan kī zamīñ
kulbulāne lagī
zalzala jism meñ aisā barpā huā
sab dafīne ḳhazīne badan se ubalne lage
ābloñ aur chhāloñ ke ankur nikalne lage
laal piile hare baiñganī kattha.ī
zaḳhm ke phuul khilne lage
mere be-rang banjar badan kī zamīñ lahlahāne lagī
merī hairat baḌhāne lagī
merī miTTī bhī upjā.ū hai is qadar
maiñ ne sochā na thā
ik mahīne meñ
zaḳhmoñ kī chhe saat fasleñ kaTīñ
zindagī-bhar kī mahrūmiyoñ kā gila miT gayā
jism kī lahlahātī zamīñ dekh kar merā jī ḳhush huā
zaḳhm pahlā jo thā daaġh hai
dūsrā sūkhne ke marāhil meñ hai
tīsrā phuul kī tarah khiltā huā
aur chauthā kalī kī tarah hai chaTaktā huā
pāñchvāñ hū-bahū hai kalī
aur chhaTā kechue kī tarah
giilī miTTī meñ āhista se reñgtā hai abhī
sātvāñ kulbulātā hai zer-e-zamīñ
āTHvāñ hañs rahā hai falak par kahīñ
paañv jaise mire mor ke ho ga.e
haath phūloñ kā dasta huā
jism par daaġh ke chāñd taare chamakne lage
ai ḳhudā is navāzish pe terā bahut shukr hai
lekin ab
is badan kī zamīñ
aane vaalī na.ī fasl ke vāste tang paḌne lagī
mere mālik tū ab
ābloñ kī na.ī fasl ko rok de
yā mujhe dūsrā jism de
aaj pat-jhaD se jiwan mein pahle-pahal
mere be-rang banjar badan ki zamin
kulbulane lagi
zalzala jism mein aisa barpa hua
sab dafine KHazine badan se ubalne lage
aablon aur chhaalon ke ankur nikalne lage
lal pile hare baingani katthai
zaKHm ke phul khilne lage
mere be-rang banjar badan ki zamin lahlahane lagi
meri hairat baDhane lagi
meri miTTi bhi upjau hai is qadar
main ne socha na tha
ek mahine mein
zaKHmon ki chhe sat faslen kaTin
zindagi-bhar ki mahrumiyon ka gila miT gaya
jism ki lahlahati zamin dekh kar mera ji KHush hua
zaKHm pahla jo tha dagh hai
dusra sukhne ke marahil mein hai
tisra phul ki tarah khilta hua
aur chautha kali ki tarah hai chaTakta hua
panchwan hu-bahu hai kali
aur chhaTa kechue ki tarah
gili miTTi mein aahista se rengta hai abhi
satwan kulbulata hai zer-e-zamin
aaTHwan hans raha hai falak par kahin
panw jaise mere mor ke ho gae
hath phulon ka dasta hua
jism par dagh ke chand tare chamakne lage
ai KHuda is nawazish pe tera bahut shukr hai
lekin ab
is badan ki zamin
aane wali nai fasl ke waste tang paDne lagi
mere malik tu ab
aablon ki nai fasl ko rok de
ya mujhe dusra jism de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.