dusra pahaD
ye dūsrā pahāḌ thā
jahāñ chīzoñ meñ merī umr ke kuchh hisse paḌe the
maiñ yahāñ se kitnī be-tartīb ga.ī thī
aur maiñ apnā din gard kar ke aa rahī thī
saarī chīzoñ ne mujhe gale lagāyā
maiñ ne chhoTe juute chhabaḌī vaale ko faroḳht kar diye
aur sikke hanger meñ paḌe chhoTe kapḌoñ meñ Daal diye
maiñ ā.īne ke sāmne khaḌī huī
aur apnī āñkhoñ kī jhurriyāñ ginñe lagī
aag par parinde señkne lagī
to bhuuk merī eḌī se Dar niklī
ye dusra pahaD tha
jahan chizon mein meri umr ke kuchh hisse paDe the
main yahan se kitni be-tartib gai thi
aur main apna din gard kar ke aa rahi thi
sari chizon ne mujhe gale lagaya
main ne chhoTe jute chhabaDi wale ko faroKHt kar diye
aur sikke hanger mein paDe chhoTe kapDon mein Dal diye
main aaine ke samne khaDi hui
aur apni aankhon ki jhurriyan ginne lagi
aag par parinde senkne lagi
to bhuk meri eDi se Dar nikli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.