dusre darje ki pichhli qatar ka aadmi
gosht machhlī sabziyāñ baniye kā ration duudh ghī
mujh ko khātī haiñ ye chīzeñ maiñ ne kab khāyā inheñ
merā ghar rahtā hai mujh meñ ghar meñ maiñ rahtā nahīñ
biivī bachchoñ ke phaTe kapḌoñ meñ huuñ
aur na.e joḌoñ kī ḳhushiyoñ meñ chhupā jo karb hai vo bhī huuñ maiñ
fees meñ schōl kī copy kitāboñ meñ bhī maiñ
maiñ hī huuñ chūlhe kī gas
maiñ hī huuñ stove kā gas
mere juute joñk kī mānind mere paañv se lipTe hue haiñ
chūste haiñ merā ḳhuun
merā scōter mere kāñdhoñ pe baiThā hai
maiñ us ke tyroñ meñ lipTā huuñ aur ghistā huuñ
gosht machhli sabziyan baniye ka ration dudh ghi
mujh ko khati hain ye chizen main ne kab khaya inhen
mera ghar rahta hai mujh mein ghar mein main rahta nahin
biwi bachchon ke phaTe kapDon mein hun
aur nae joDon ki KHushiyon mein chhupa jo karb hai wo bhi hun main
fees mein school ki copy kitabon mein bhi main
main hi hun chulhe ki gas
main hi hun stowe ka gas
mere jute jonk ki manind mere panw se lipTe hue hain
chuste hain mera KHun
mera scooter mere kandhon pe baiTha hai
main us ke tyron mein lipTa hun aur ghista hun
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 127)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.