dusre lamhe ka KHauf
abhī muTThiyoñ meñ havā qaid hai
abhī aañkh kā rang mailā nahīñ hai
yahī vaqt hai
chal paḌoge to manzil qadam do qadam hai
vagarna abhī ik pahar baa'd
jaltā huā surḳh sūraj
saroñ par chamakne lagegā
hameñ phir kisī peḌ kī
reza-reza pighaltī huī chhāñv meñ
saañs lenā paḌegā
abhi muTThiyon mein hawa qaid hai
abhi aankh ka rang maila nahin hai
yahi waqt hai
chal paDoge to manzil qadam do qadam hai
wagarna abhi ek pahar ba'd
jalta hua surKH suraj
saron par chamakne lagega
hamein phir kisi peD ki
reza-reza pighalti hui chhanw mein
sans lena paDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.