dusri raat
ye bhī raat guzar rahī he
kamre kī bikhrī chīzeñ sameTte hue
tumhāre jaane ke baad
tumhārī chahal-qadmiyāñ ghūmtī rahtī haiñ dil ke āñgan meñ
gūñjtī rahtī haiñ tumhārī sargoshiyāñ mere kānoñ meñ
bistar kī silvaTeñ muñh chiḌhāne lagtī haiñ
is baar cigarette ke jale hue TukḌoñ par mahsūs kartī huuñ
tumhāre hoñToñ kā lams
idhar-udhar bikhre hue tumhārī bātoñ ke Dher
chaa.e kī jhūTī pyāliyāñ
ek ek ko uThātī huuñ aur rakhtī jaatī huuñ
yādoñ kī almārī meñ
jis meñ pahle hī se maujūd haiñ
tumhārī muskurāhaToñ kī gaThriyāñ
balcony se jhāñktā huā chāñd
mahaktī huī raat kī raanī
kitnā kuchh sameTnā baaqī he abhī
mere māthe par tumhāre hoñToñ kā lams
tumhāre naam kā vird kartī huī dhaḌakne
thak kar chuur ho ga.ī huuñ ḳhud ko sameTte hue
aur āsmān par chamaktā huā āḳhirī sitāra bhī
is baar Duub jaanā chāhtā hai mere saath
tumhārī yaado ke be-karāñ samundar meñ
ye bhi raat guzar rahi he
kamre ki bikhri chizen sameTte hue
tumhaare jaane ke baad
tumhaari chahal-qadmiyan ghumti rahti hain dil ke aangan mein
gunjti rahti hain tumhaari sargoshiyan mere kanon mein
bistar ki silwaTen munh chiDhane lagti hain
is bar cigarette ke jale hue TukDon par mahsus karti hun
tumhaare honTon ka lams
idhar-udhar bikhre hue tumhaari baaton ke Dher
chae ki jhuTi pyaliyan
ek ek ko uThati hun aur rakhti jati hun
yaadon ki almari mein
jis mein pahle hi se maujud hain
tumhaari muskurahaTon ki gaThriyan
balcony se jhankta hua chand
mahakti hui raat ki rani
kitna kuchh sameTna baqi he abhi
mere mathe par tumhaare honTon ka lams
tumhaare nam ka wird karti hui dhaDakne
thak kar chur ho gai hun KHud ko sameTte hue
aur aasman par chamakta hua aaKHiri sitara bhi
is bar Dub jaana chahta hai mere sath
tumhaari yaado ke be-karan samundar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.