eajaz-e-tasawwur
raah dekhī nahīñ aur duur hai manzil merī
koī saaqī nahīñ maiñ huuñ mirī tanhā.ī hai
dekhnī hai mujhe hairānī se tāroñ kī nigāh
duur un se bhī kahīñ duur mujhe jaanā hai
us bulandī pe uḌe jaatā hai to sun merā
kahkashāñ gard sī detī hai dikhā.ī mujh ko
rif.at-e-gosh se suntā huā mub.ham sā sharār
merī manzil hai kahā ye kabhī sochā hī nahīñ
is kī fursat hī kise dil meñ magar rahtā hai
dard vo dard ki hai jis se kamnā biitā
jaane kuchh raah mire saath huā thā lekin
rah gayā duur kahīñ haar ke himmat apnī
zohra kahne lagī ai bazm falak ke qāsid
zard rau pahlī hī manzil meñ huā to kyuuñ kar
jab ki vo ḳhākī-e-be-māyā baḌhe jaatā hai
past har ek bulandī ko kaTe jaatā hai
bhaḌke ik aah kahā chāñd ne yuuñ zohra se
ai nigār-e-ruḳh-e-zebā-e-bahār-e-aflāk
maiñ bhī hairān huuñ is himmat aa.alī pe kahīñ
husn-e-salmā ke tasavvur kā ye 'ejāz' na ho
ye javāñ hauslagī parda-dar-e-rāz na ho
rah dekhi nahin aur dur hai manzil meri
koi saqi nahin main hun meri tanhai hai
dekhni hai mujhe hairani se taron ki nigah
dur un se bhi kahin dur mujhe jaana hai
us bulandi pe uDe jata hai to sun mera
kahkashan gard si deti hai dikhai mujh ko
rifat-e-gosh se sunta hua mubham sa sharar
meri manzil hai kaha ye kabhi socha hi nahin
is ki fursat hi kise dil mein magar rahta hai
dard wo dard ki hai jis se kamna bita
jaane kuchh rah mere sath hua tha lekin
rah gaya dur kahin haar ke himmat apni
zohra kahne lagi ai bazm falak ke qasid
zard rau pahli hi manzil mein hua to kyun kar
jab ki wo KHaki-e-be-maya baDhe jata hai
past har ek bulandi ko kaTe jata hai
bhaDke ek aah kaha chand ne yun zohra se
ai nigar-e-ruKH-e-zeba-e-bahaar-e-aflak
main bhi hairan hun is himmat aaali pe kahin
husn-e-salma ke tasawwur ka ye 'ejaz' na ho
ye jawan hauslagi parda-dar-e-raaz na ho
- Book : Jadeed Shora.e Urdu (Pg. 707)
- Author : Dr. Abdul Wahid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.