etiraf
ai dil-e-zinda sach batā ki tujhe
āḳhirash intizār kis kā hai
kaun sī sub.h terī nazroñ meñ
ho sakī sub.h-e-intiḳhāb kabhī
kaun sā lamha tere āñgan meñ
lamha-e-jāvedāñ nazar aayā
kis kiran ne tire lahū ko chunā
kab havā ne tarāsh liiñ rāheñ
kin nigāhoñ ne tujh ko parkhā hai
kin salīboñ ne terā qad naapā
kab tirā naġhma jān-e-mahfil thā
kab tire saaya meñ humā aayā
kab tirī zulf kā bharam TuuTā
phir tujhe shikva kyoñ rahā ki tujhe
zindagī raas aa sakī na kabhī
tū ne kab zindagī se ulfat kī
kab use marham-e-vafā jaanā
kab fazāoñ meñ tū ne ras gholā
har taraf talḳhiyoñ ke rishte haiñ
tū ne kab un kā zā.iqa chhoḌā
ai dil-e-zinda sach batā ki tujhe
ḳhaar rahnā hai yūñhī rāhoñ meñ
zindagī ke jahannamoñ se pare
apnī jannat banānā hai ki nahīñ
apne ḳhūñ-gashta rāh-dāroñ meñ
ḳhirman-e-dil jalānā hai ki nahīñ
apne ehsās kī kasauTī par
zarb kaarī lagānā hai ki nahīñ
apne bujhte hue charāġhoñ ko
rāh-e-ulfat dikhānā hai ki nahīñ
aao raushan kareñ charāġh vahī
jin se duniyā ujaal leñ ik din
apne hāthoñ meñ vo ayāġh raheñ
rañg-e-mahfil nikhār leñ ik din
ai dil-e-zinda sach batā ki tujhe
āḳhirash intizār kis kā hai
ai dil-e-zinda sach bata ki tujhe
aaKHirash intizar kis ka hai
kaun si subh teri nazron mein
ho saki subh-e-intiKHab kabhi
kaun sa lamha tere aangan mein
lamha-e-jawedan nazar aaya
kis kiran ne tere lahu ko chuna
kab hawa ne tarash lin rahen
kin nigahon ne tujh ko parkha hai
kin salibon ne tera qad napa
kab tera naghma jaan-e-mahfil tha
kab tere saya mein huma aaya
kab teri zulf ka bharam TuTa
phir tujhe shikwa kyon raha ki tujhe
zindagi ras aa saki na kabhi
tu ne kab zindagi se ulfat ki
kab use marham-e-wafa jaana
kab fazaon mein tu ne ras ghola
har taraf talKHiyon ke rishte hain
tu ne kab un ka zaiqa chhoDa
ai dil-e-zinda sach bata ki tujhe
KHar rahna hai yunhi rahon mein
zindagi ke jahannamon se pare
apni jannat banana hai ki nahin
apne KHun-gashta rah-daron mein
KHirman-e-dil jalana hai ki nahin
apne ehsas ki kasauTi par
zarb kari lagana hai ki nahin
apne bujhte hue charaghon ko
rah-e-ulfat dikhana hai ki nahin
aao raushan karen charagh wahi
jin se duniya ujal len ek din
apne hathon mein wo ayagh rahen
rang-e-mahfil nikhaar len ek din
ai dil-e-zinda sach bata ki tujhe
aaKHirash intizar kis ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.