etiraf-e-haqiqat
hasad-o-rashk adab kī nahīñ karte tashkīl
jo haqīqat ko chhupāte haiñ vo hote haiñ baḳhīl
mad.h-e-fankār to goyā hai baḌe-pan kī dalīl
is se hotī hai vasī.a-un-nazarī kī takmīl
e'tirāf apnī jagah husn hai taqsīr nahīñ
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mīr' nahīñ
nām-e-nāmī liyā jaatā hai ba-tāzīm us kā
bazm-e-urdu meñ na.ī tarz-e-suḳhan kā hai ḳhudā
us ko to 'ātish'-o-'saudā' ne kiyā hai sajda
'josh'-o-'iqbāl'-o-'jigar' us ke sanā-ḳhvāñ haiñ to kyā
e'tirāf apnī jagah husn hai taqsīr nahīñ
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mīr' nahīñ
rang har ik se judā shoḳhī-e-guftār ajiib
ḳhud se bezār magar apne taḳhayyul kā naqīb
'zauq' bhī zor lagāte rahe tā-umr ġharīb
na huā par na huā 'mīr' kā andāz nasīb
e'tirāf apnī jagah husn hai taqsīr nahīñ
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mīr' nahīñ
'mīr' sab kā dil-o-dīda hai ba-qaul-e-'nāsiḳh'
'mīr' ḳhud apnā qasīda hai ba-qaul-e-'nāsiḳh'
'mīr' to ik gul-e-chīda hai ba-qaul-e-'nāsiḳh'
'ġhālib' apnā ye aqīda hai ba-qaul-e-'nāsiḳh'
e'tirāf apnī jagah husn hai taqsīr nahīñ
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mīr' nahīñ
hasad-o-rashk adab ki nahin karte tashkil
jo haqiqat ko chhupate hain wo hote hain baKHil
madh-e-fankar to goya hai baDe-pan ki dalil
is se hoti hai wasia-un-nazari ki takmil
e'tiraf apni jagah husn hai taqsir nahin
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mir' nahin
nam-e-nami liya jata hai ba-tazim us ka
bazm-e-urdu mein nai tarz-e-suKHan ka hai KHuda
us ko to 'atish'-o-'sauda' ne kiya hai sajda
'josh'-o-'iqbaal'-o-'jigar' us ke sana-KHwan hain to kya
e'tiraf apni jagah husn hai taqsir nahin
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mir' nahin
rang har ek se juda shoKHi-e-guftar ajib
KHud se bezar magar apne taKHayyul ka naqib
'zauq' bhi zor lagate rahe ta-umr gharib
na hua par na hua 'mir' ka andaz nasib
e'tiraf apni jagah husn hai taqsir nahin
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mir' nahin
'mir' sab ka dil-o-dida hai ba-qaul-e-'nasiKH'
'mir' KHud apna qasida hai ba-qaul-e-'nasiKH'
'mir' to ek gul-e-chida hai ba-qaul-e-'nasiKH'
'ghaalib' apna ye aqida hai ba-qaul-e-'nasiKH'
e'tiraf apni jagah husn hai taqsir nahin
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mir' nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.