etiraf
aaj maiñ ā.īne ke muqābil khaḌā huuñ
masarrat kī ḳhvāhish
mire vāste maut kā zā.iqa ban chukī hai
sulagtī huī ḳhvāhishoñ se hirāsāñ badan
justujū se gurezāñ hai
ḳhush-baḳhtoñ ke liye kāmyābī kā koī bahāna nahīñ
jāntā huuñ
ki merā safar
ek dahshat-zada aarzū kā safar hai
merī rahguzar
karb kī rahguzar hai
aaj main aaine ke muqabil khaDa hun
masarrat ki KHwahish
mere waste maut ka zaiqa ban chuki hai
sulagti hui KHwahishon se hirasan badan
justuju se gurezan hai
KHush-baKHton ke liye kaamyabi ka koi bahana nahin
jaanta hun
ki mera safar
ek dahshat-zada aarzu ka safar hai
meri rahguzar
karb ki rahguzar hai
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-268 p-256)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967 )
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.