etiraf
jab tak maiñ tanhā thā maiñ thā
mujh meñ shāmil koī na thā
bhiiḌ meñ shāmil ho kar maiñ ne
apnā sab kuchh khoyā thā
sab ne mil kar mujh se badan kā
ik ik hissa chhīn liyā thā
apne badan kā ik ik hissa
mere badan se joḌ diyā thā
bhiiḌ meñ shāmil ho kar maiñ ne
un kā rang apnāyā thā
maiñ ab maiñ sharminda huuñ
kaale harfoñ kī fehrist meñ
merā naam bhī shāmil thā
jab tak main tanha tha main tha
mujh mein shamil koi na tha
bhiD mein shamil ho kar main ne
apna sab kuchh khoya tha
sab ne mil kar mujh se badan ka
ek ek hissa chhin liya tha
apne badan ka ek ek hissa
mere badan se joD diya tha
bhiD mein shamil ho kar main ne
un ka rang apnaya tha
main ab main sharminda hun
kale harfon ki fehrist mein
mera nam bhi shamil tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.