etiraf
maiñ ne bikhre hue alfāz ko yakjā kar ke
zehn ko chaa.e ke do ghūñT se bedār kiyā
aur phir sher kahā
ye zamāna kabhī vahshī na darinda hotā
is ke siine meñ koī dil bhī jo zinda hotā
mere ash.ār risāloñ meñ chhape
bazm-e-ahbāb meñ dohrā.e ga.e
naqd-o-tahsīn ke mīzānoñ par
bārhā mere suḳhan laa.e ga.e
mujh ko ma.alūm nahīñ
vo zamāna jo darinda thā kahāñ tak pahūñchā
maiñ to bas
haath par haath dhare
sitam-o-jaur-e-shab-o-roz-e-zamāna se pare
sher kahtā rahā afzā.ish-e-fan kī ḳhātir
aur sunātā rahā tash.hīr-e-suḳhan kī ḳhātir
main ne bikhre hue alfaz ko yakja kar ke
zehn ko chae ke do ghunT se bedar kiya
aur phir sher kaha
ye zamana kabhi wahshi na darinda hota
is ke sine mein koi dil bhi jo zinda hota
mere ashaar risalon mein chhape
bazm-e-ahbab mein dohrae gae
naqd-o-tahsin ke mizanon par
barha mere suKHan lae gae
mujh ko malum nahin
wo zamana jo darinda tha kahan tak pahuncha
main to bas
hath par hath dhare
sitam-o-jaur-e-shab-o-roz-e-zamana se pare
sher kahta raha afzaish-e-fan ki KHatir
aur sunata raha tashhir-e-suKHan ki KHatir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.