etiraf
jal bujhe āñkhoñ meñ ḳhvāboñ ke mahakte paikar
ab kahīñ koī sharāra hai na sho.ala na dhuāñ
kho ga.e vaqt kī pathrīlī guzargāhoñ par
chand be-nām tamannāoñ ke qadmoñ ke nishāñ
ek parchhā.īñ huuñ jis meñ na koī rañg na ruup
sirf ehsās ho tum jis kā koī naam nahīñ
maiñ bhī pā-basta huuñ hālāt kī zanjīroñ meñ
tum pe bhī ahd-e-farāmoshī kā ilzām nahīñ
mere ehsās pe bhī barf jamī hai jaise
aañch detā nahīñ jazbāt ko koī mausam
dhaḌkaneñ aaj tumhārī bhī haiñ be-lafz-o-bayāñ
ab barastī nahīñ dildār nazar se shabnam
maiñ bhī kuchh sūrat-e-hālāt se bargashta huuñ
tum bhī ho apne ḳhayālāt pe pachhtā.ī huī
maiñ ne bhī jaan liyā hai ki haqīqat kyā hai
tum bhī ḳhvāboñ se nazar aatī ho uktā.ī huī
jab na maiñ maiñ huuñ na tum tum ho to phir āñkhoñ meñ
ye girāñbār-e-ehsās-e-shanāsā.ī kyuuñ
baar ho jaañ pe to paimān-e-rifāqat kaisā
bojh huuñ dil pe to jazboñ kī pazīrā.ī kyuuñ
mujh ko yuuñ pyaar kī rusvā.iyāñ manzūr nahīñ
tum bhī is rishte pe ilzām na aane denā
merī sāñsoñ meñ na mahkegī tumhārī ḳhushbū
tum bhī hoñToñ pe mirā naam na aane denā
jal bujhe aankhon mein KHwabon ke mahakte paikar
ab kahin koi sharara hai na shoala na dhuan
kho gae waqt ki pathrili guzargahon par
chand be-nam tamannaon ke qadmon ke nishan
ek parchhain hun jis mein na koi rang na rup
sirf ehsas ho tum jis ka koi nam nahin
main bhi pa-basta hun haalat ki zanjiron mein
tum pe bhi ahd-e-faramoshi ka ilzam nahin
mere ehsas pe bhi barf jami hai jaise
aanch deta nahin jazbaat ko koi mausam
dhaDkanen aaj tumhaari bhi hain be-lafz-o-bayan
ab barasti nahin dildar nazar se shabnam
main bhi kuchh surat-e-haalat se bargashta hun
tum bhi ho apne KHayalat pe pachhtai hui
main ne bhi jaan liya hai ki haqiqat kya hai
tum bhi KHwabon se nazar aati ho uktai hui
jab na main main hun na tum tum ho to phir aankhon mein
ye giranbar-e-ehsas-e-shanasai kyun
bar ho jaan pe to paiman-e-rifaqat kaisa
bojh hun dil pe to jazbon ki pazirai kyun
mujh ko yun pyar ki ruswaiyan manzur nahin
tum bhi is rishte pe ilzam na aane dena
meri sanson mein na mahkegi tumhaari KHushbu
tum bhi honTon pe mera nam na aane dena
- Book : Naqd-e-jan (Pg. 50)
- Author : Shahid Akhtar
- Publication : madhya pradesh urdu academy Bhopal (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.