etiraf
kabhī aisā bhī hotā hai
savāloñ kī koī ik bhiiḌ
mujh ko gher letī hai
to ye mahsūs hotā hai
ki maiñ pābandiyoñ ke is qafas ko
toḌ kar bāhar nikal aa.uuñ
maiñ is duniyā ko dekhūñ
aur bahut nazdīk se dekhūñ
zehn meñ kulbulāte un
savāloñ ke bhī hal DhūñDūñ
jo kuchh mere haiñ aur kuchh
dūsroñ ne mujh se pūchhe hai
kisī ko justujū hai us vajūd-e-pāk ko jaane
tazabzub meñ koī hai us ko maane bhī to kyuuñ maane
agar vo hai to is duniyā meñ
bad-ā.māliyāñ kyuuñ haiñ
agar vo hai to insānoñ meñ
ye bad-kāriyāñ kyuuñ haiñ
yahāñ bachpan hai dahshat meñ
javānī bhī hai ḳhatre meñ
hai kuchh māhaul bhī aisā
ki paanī bhī hai ḳhatre meñ
agar vo hai to phir kyuuñ
ḳhāmushī kī hai ridā oḌhe
agar vo hai to phir hālāt kī
gutthī ko suljhā.e
na jaane kitne aise hī
savāloñ ne kiye hamle
to maiñ ne ye tajassus
aql ke mīzān meñ tole
mujhe lagne lagā ye kaise behis log haiñ
jin ko nahiñ ehsās ne.amat kā
na bahroñ ke ḳhazānoñ kā
na ūñchī un chaTānoñ kā
na kohsāroñ kī azmat kā
na us getī kī vus.at kā
parindoñ ke tarānoñ kā
na jañgal kā makānoñ kā
na paidā.ish na rehlat kā
mohabbat aur shafqat kā
ki duniyā ke har ik zarre meñ
us kā nuur pinhāñ hai
añdherā ho jahāñ vo
nuur kī sūrat numāyāñ hai
ḳhushī aur ġham hamāre
imtihānoñ kī hī shakleñ haiñ
ki ham us ke diye aa.iin ko
kitnā samajhte haiñ
hamāre sabr dushvārī kī
choT choT sahte haiñ
kahāñ ham laḌkhaḌāte haiñ
kahāñ se bach nikalte haiñ
use pahchānñā āsān nahīñ lekin
vajūd-e-Haq numāyāñ hai
azal se aaj tak ye jā-ba-jā
lamha-ba-lamha pai-ba-pai
mahsūs hotā hai ki vo
shah-e-rag se hai nazdīk
aur a.amāl par nazreñ
use hai fikr ḳhilqat kī
aur insāf-o-adālat kī
vo haadī hai har ik shai kā
muhāfiz hai har ik shai kā
ki jab in zalzaloñ se
apnī dhartī kaañp uThtī thī
jahāñ lāsheñ hī lāsheñ thiiñ
vahāñ chaubīs ghanToñ tak
vo ek nannhī sī jaañ ko
iiñT aur patthar ke malbe meñ
atā kartā hai sāñseñ
aur us ko zinda rakhtā hai
to sar sajde meñ jhukte hai
aqīda aur bhī mazbūt hotā hai
kabhi aisa bhi hota hai
sawalon ki koi ek bhiD
mujh ko gher leti hai
to ye mahsus hota hai
ki main pabandiyon ke is qafas ko
toD kar bahar nikal aaun
main is duniya ko dekhun
aur bahut nazdik se dekhun
zehn mein kulbulate un
sawalon ke bhi hal DhunDun
jo kuchh mere hain aur kuchh
dusron ne mujh se puchhe hai
kisi ko justuju hai us wajud-e-pak ko jaane
tazabzub mein koi hai us ko mane bhi to kyun mane
agar wo hai to is duniya mein
bad-amaliyan kyun hain
agar wo hai to insanon mein
ye bad-kariyan kyun hain
yahan bachpan hai dahshat mein
jawani bhi hai KHatre mein
hai kuchh mahaul bhi aisa
ki pani bhi hai KHatre mein
agar wo hai to phir kyun
KHamushi ki hai rida oDhe
agar wo hai to phir haalat ki
gutthi ko suljhae
na jaane kitne aise hi
sawalon ne kiye hamle
to main ne ye tajassus
aql ke mizan mein tole
mujhe lagne laga ye kaise behis log hain
jin ko nahin ehsas neamat ka
na bahron ke KHazanon ka
na unchi un chaTanon ka
na kohsaron ki azmat ka
na us geti ki wusat ka
parindon ke taranon ka
na jangal ka makanon ka
na paidaish na rehlat ka
mohabbat aur shafqat ka
ki duniya ke har ek zarre mein
us ka nur pinhan hai
andhera ho jahan wo
nur ki surat numayan hai
KHushi aur gham hamare
imtihanon ki hi shaklen hain
ki hum us ke diye aain ko
kitna samajhte hain
hamare sabr dushwari ki
choT choT sahte hain
kahan hum laDkhaDate hain
kahan se bach nikalte hain
use pahchanna aasan nahin lekin
wajud-e-Haq numayan hai
azal se aaj tak ye ja-ba-ja
lamha-ba-lamha pai-ba-pai
mahsus hota hai ki wo
shah-e-rag se hai nazdik
aur aamal par nazren
use hai fikr KHilqat ki
aur insaf-o-adalat ki
wo hadi hai har ek shai ka
muhafiz hai har ek shai ka
ki jab in zalzalon se
apni dharti kanp uThti thi
jahan lashen hi lashen thin
wahan chaubis ghanTon tak
wo ek nannhi si jaan ko
inT aur patthar ke malbe mein
ata karta hai sansen
aur us ko zinda rakhta hai
to sar sajde mein jhukte hai
aqida aur bhi mazbut hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.