etiraf
ye duniyā
jitnī vasī' hai
utnī hī muḳhtasar hai
maiñ is arz meñ
ḳhud ko kabhī DhūñDne nikaltā huuñ
to sirf
sahn kā kañgūrā hī mujhe nazar aatā hai
kyūñki
bā'd-az-vaqt
zindagī kī qadr karnā
na sirf ġhair zarūrī hai
balki maqbaroñ meñ
dafn hone jaisā hai
ye duniya
jitni wasi' hai
utni hi muKHtasar hai
main is arz mein
KHud ko kabhi DhunDne nikalta hun
to sirf
sahn ka kangura hi mujhe nazar aata hai
kyunki
ba'd-az-waqt
zindagi ki qadr karna
na sirf ghair zaruri hai
balki maqbaron mein
dafn hone jaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.