kirdar
zindagī ke nāTak meñ
ek adākāra huuñ maiñ
ye hogā alamiya yā razmiya
kaun batā saktā hai
jab parda uThtā hai
mujhe apnā kirdār adā karnā hotā hai
kuchh soche-samjhe baġhair
dūsre adākāroñ ke ishāroñ par
bolne paḌte haiñ apne mukālme
mere kirdār haiñ be-shumār
muḳhtalif jazbāt liye
madad karne ke liye mujhe
pas-e-parda koī nahīñ hai
kyā maiñ ne apnā kirdār sahīh nibhāyā
jo kahnā thā sahī kahā sahī Dhañg se
kyā maiñ nā-kāmyāb thī
kyā sāma.īn kī tāliyāñ
aur naqqādoñ kī daad maiñ ne hāsil kī
yā phir sab kī nazroñ meñ gir ga.ī
in savālāt kā vaqt hī javāb degā
parda girne ke ba.ad
zindagi ke naTak mein
ek adakara hun main
ye hoga alamiya ya razmiya
kaun bata sakta hai
jab parda uThta hai
mujhe apna kirdar ada karna hota hai
kuchh soche-samjhe baghair
dusre adakaron ke ishaaron par
bolne paDte hain apne mukalme
mere kirdar hain be-shumar
muKHtalif jazbaat liye
madad karne ke liye mujhe
pas-e-parda koi nahin hai
kya main ne apna kirdar sahih nibhaya
jo kahna tha sahi kaha sahi Dhang se
kya main na-kaamyab thi
kya samain ki taliyan
aur naqqadon ki dad main ne hasil ki
ya phir sab ki nazron mein gir gai
in sawalat ka waqt hi jawab dega
parda girne ke baad
- Book : Muhobbat Ke Saaye (Pg. 29)
- Author : Elizabeth Kurian Mona
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.