jab bārish barsī log bahut hī ro.e
ham mandir meñ jā so.e
jab dhuup khilī to log bahut hī ro.e
ham jañgal meñ jā so.e
logoñ ko ġhussa aayā
aur ham ko aan jagāyā
ham jāgte haiñ tum sote ho ullū ke paThThe
tum tanhā ho ham log ikaTThe
ham būḌhe haiñ tum bachche
tum jhūTe ho ham sachche
yuuñ paap hai sonā
jab dhuup khile yā bārish barse ronā
jab bārish barsī dhuup khilī
ham ro.e
aur niiñd kī daulat miTTī meñ dafnā.ī
phir niiñd ke phuul khile
aur niiñd kī ḳhushbū chāroñ aur uḌaa.ī
jab bārish barsī mandir meñ kuchh log mile
sab so.e
jab dhuup khilī to jañgal meñ kuchh log mile
so.e
phir apnī nādānī par
aur daulat kī qurbānī par
ham ḳhuub hañse
ham itnā hañse ke ro.e
jab barish barsi log bahut hi roe
hum mandir mein ja soe
jab dhup khili to log bahut hi roe
hum jangal mein ja soe
logon ko ghussa aaya
aur hum ko aan jagaya
hum jagte hain tum sote ho ullu ke paThThe
tum tanha ho hum log ikaTThe
hum buDhe hain tum bachche
tum jhuTe ho hum sachche
yun pap hai sona
jab dhup khile ya barish barse rona
jab barish barsi dhup khili
hum roe
aur nind ki daulat miTTi mein dafnai
phir nind ke phul khile
aur nind ki KHushbu chaaron aur uDai
jab barish barsi mandir mein kuchh log mile
sab soe
jab dhup khili to jangal mein kuchh log mile
soe
phir apni nadani par
aur daulat ki qurbani par
hum KHub hanse
hum itna hanse ke roe
- Book : tanhaa.ii (Pg. 210)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.